Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

basti basti KHat-e-gum-gashta sa aawara hun

Najeeb Ramish

basti basti KHat-e-gum-gashta sa aawara hun

Najeeb Ramish

MORE BYNajeeb Ramish

    bastī bastī ḳhat-e-gum-gashta āvāra huuñ

    kal kahāñ koī mujhe rok le maiñ kyā jānūñ

    baal baḌh jaa.eñ ki inkār tāqat to mile

    chāhe phir apnī āñkhoñ tarah bujh jā.ūñ

    vo ḳhalā hai to ḳhalā bhī hai hadoñ qaidī

    maiñ huuñ āzād to āzādī zindānī huuñ

    zindagī mujh ko ye zanjīr-e-havā de ke udaas

    maiñ pareshān ki maiñ saañs liye jaatā huuñ

    suud hone adā karnā hai qistoñ meñ

    dosto talḳh ik baat kaho TuuT girūñ

    karb karb hai be-daur-o-zamāna honā

    us ik pal huuñ to kaash ab use yaad aa jā.ūñ

    qarz-ḳhvāhoñ tarah vaqt! garebāñ mat thaam

    qahqaha ik kahīñ rakkhā thā diye detā huuñ

    basti basti KHat-e-gum-gashta sa aawara hun

    kal kahan koi mujhe rok le main kya jaanun

    baal baDh jaen ki inkar ki taqat to mile

    chahe phir apni hi aankhon ki tarah bujh jaun

    wo KHala hai to KHala bhi hai hadon ka qaidi

    main hun aazad to aazadi ka zindani hun

    zindagi mujh ko ye zanjir-e-hawa de ke udas

    main pareshan ki main sans liye jata hun

    sud hone ka ada karna hi hai qiston mein

    dosto talKH si ek baat kaho TuT girun

    karb sa karb hai be-daur-o-zamana hona

    us ka ek pal hun to kash ab use yaad aa jaun

    qarz-KHwahon ki tarah waqt! gareban mat tham

    qahqaha ek kahin rakkha tha diye deta hun

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 516)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now