Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

basti hai tarik ujale karta ja

Puran Singh Hunar

basti hai tarik ujale karta ja

Puran Singh Hunar

MORE BYPuran Singh Hunar

    bastī hai tārīk ujāle kartā

    nekī kar dariyā ke havāle kartā

    paḌhne fursat na sahī lekin phir bhī

    apne ghar meñ jam.a risāle kartā

    shām-o-sahar pathrīle rastoñ pe chal kar

    ḳhud apne pairoñ meñ chhāle kartā

    barsoñ se jo band hue haiñ logoñ par

    duur un darvāzoñ se taale kartā

    duniyā ke dhandoñ meñ uljhā de ḳhud ko

    apne saare ghar meñ jaale kartā

    kaun paḌhegā terī kitāb-e-hastī ko

    laakh bhī is ke safhe kaale kartā

    apnī kahānī pahuñchā de ik ik ghar tak

    baaqī qisse bhūlne vaale kartā

    naam adab meñ terā bhī chamkegā 'hunar'

    zehn apnā lafzoñ ke havāle kartā

    basti hai tarik ujale karta ja

    neki kar dariya ke hawale karta ja

    paDhne ki fursat na sahi lekin phir bhi

    apne ghar mein jama risale karta ja

    sham-o-sahar pathrile raston pe chal kar

    KHud apne pairon mein chhaale karta ja

    barson se jo band hue hain logon par

    dur un darwazon se tale karta ja

    duniya ke dhandon mein uljha de KHud ko

    apne sare ghar mein jale karta ja

    kaun paDhega teri kitab-e-hasti ko

    lakh bhi is ke safhe kale karta ja

    apni kahani pahuncha de ek ek ghar tak

    baqi qisse bhulne wale karta ja

    nam adab mein tera bhi chamkega 'hunar'

    zehn apna lafzon ke hawale karta ja

    Source:

    Mata-e-Dard (Pg. 19)

    • Author: Puran Singh Hunar
      • Publisher: Puran Singh Hunar
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now