Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bataen kya tujhko chashm-e-pur-nam hua hai kya KHun aarzu ka

Dattatriya Kaifi

bataen kya tujhko chashm-e-pur-nam hua hai kya KHun aarzu ka

Dattatriya Kaifi

MORE BYDattatriya Kaifi

    batā.eñ kyā tujh ko chashm-e-pur-nam huā hai kyā ḳhuuñ aarzū

    banā gul-e-dāġh-e-yās-o-hasrat jo dil meñ qatra bachā lahū

    dabe jo ghuT ghuT ke dil meñ armāñ vo barq ban kar falak pe taḌpe

    jo valvala meñ rah gayā thā vo bulbula ab hai āb-e-jū

    abas hai to chāra-gar-e-pareshāñ na tujh se kuchh ban paḌegā darmāñ

    ki ho to tār-e-nafas se sāmāñ jarāhat-e-dil ke ho rafū

    khulā lab-e-gor se ye uqda ki ḳhvāb thī sab numūd-e-hastī

    vuqūf nā-mahrūmī-e-manzil kamāl hai merī justujū

    na tujh ko mast-e-havā-e-gulshan ḳhizāñ meñ ai andalīb dekhā

    nahīñ shaidā.ī bāġh-o-gul magar fidā.ī hai rañg-o-bū

    use na phir kuchh diyā dikhā.ī nazar paḌā vo jamāl jis ko

    khulā haqīqat raaz jis par na us ko yaarā thā guftugū

    hai naf-e-zāt aur nasḳh-e-hastī visāl-e-jānāñ shart-e-avval

    bharā manāzir se hai jahāñ sab jo sirf darshan hai bhūkā

    tilism-e-dair-o-haram hai tujh par hanūz dillī hai duur nādāñ

    vahāñ tirā ḳhaak dil lagegā vo hai sarāsar makān

    ḳhabar kise sub.h-o-shām hai ta.a.īnāt aur quyūd kaise

    namāz kis vahāñ kisī ko ḳhayāl tak bhī nahīñ vuzū

    nahīñ muhīt-e-rusūm-o-millat hai be-nishāñ manzil-e-haqīqat

    vahāñ na simran hatkaḌī hai na tauq-e-zunnār hai gulū

    haiñ ġharq-e-bahr-e-mai-e-mohabbat vahāñ hai 'kaifī' ye sab hālat

    hai daḳhl saaqī bazm meñ kyā surāhī-o-sāġhar-o-subū

    bataen kya tujh ko chashm-e-pur-nam hua hai kya KHun aarzu ka

    bana gul-e-dagh-e-yas-o-hasrat jo dil mein qatra bacha lahu ka

    dabe jo ghuT ghuT ke dil mein arman wo barq ban kar falak pe taDpe

    jo walwala ji mein rah gaya tha wo bulbula ab hai aab-e-ju ka

    abas hai to chaara-gar-e-pareshan na tujh se kuchh ban paDega darman

    ki ho to tar-e-nafas se saman jarahat-e-dil ke ho rafu ka

    khula lab-e-gor se ye uqda ki KHwab thi sab numud-e-hasti

    wuquf na-mahrumi-e-manzil kamal hai meri justuju ka

    na tujh ko mast-e-hawa-e-gulshan KHizan mein ai andalib dekha

    nahin tu shaidai bagh-o-gul ka magar fidai hai rang-o-bu ka

    use na phir kuchh diya dikhai nazar paDa wo jamal jis ko

    khula haqiqat ka raaz jis par na us ko yara tha guftugu ka

    hai naf-e-zat aur nasKH-e-hasti visal-e-jaanan ki shart-e-awwal

    bhara manazir se hai jahan sab jo sirf darshan ka tu hai bhuka

    tilism-e-dair-o-haram hai tujh par hanuz dilli hai dur nadan

    wahan tera KHak dil lagega wo hai sarasar makan hu ka

    KHabar kise subh-o-sham ki hai tainat aur quyud kaise

    namaz kis ki wahan kisi ko KHayal tak bhi nahin wuzu ka

    nahin muhit-e-rusum-o-millat hai be-nishan manzil-e-haqiqat

    wahan na simran ki hatkaDi hai na tauq-e-zunnar hai gulu ka

    hain gharq-e-bahr-e-mai-e-mohabbat wahan hai 'kaifi' ye sab ki haalat

    hai daKHl saqi ki bazm mein kya surahi-o-saghar-o-subu ka

    Source:

    Waridat (Pg. 471)

    • Author: Dattatriya Kaifi
      • Edition: 1941
      • Publisher: Measures Ram Lal Soori and Son's, Anarkali, Lahore
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now