Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

batao hath mein ulfat ka jam kis ka tha

Sajid Sajni Lakhnawi

batao hath mein ulfat ka jam kis ka tha

Sajid Sajni Lakhnawi

MORE BYSajid Sajni Lakhnawi

    batāo haath meñ ulfat jaam kis thā

    tumhāre raaj bhavan meñ qayām kis thā

    bhagā ke tum nahīñ laa.e the gar raqīban ko

    to phir police ke register pe naam kis thā

    tumheñ navāzā hai sab mere maike vāloñ ne

    tumhāre ghar meñ ye sab tām-jhām kis thā

    jise bazār se dilvā ke laa.e ho toffē

    maiñ jāntī huuñ vo sūrat-harām kis thā

    maiñ apne un se muḳhātib huuñ aur kis se nahīñ

    mushā.ere meñ paḌhā jo kalām kis thā

    nikal ke aa.ī ho jis ghar se aaj ai 'sajnī'

    batāo saaf vo bait-e-harām kis thā

    batao hath mein ulfat ka jam kis ka tha

    tumhaare raj bhawan mein qayam kis ka tha

    bhaga ke tum nahin lae the gar raqiban ko

    to phir police ke register pe nam kis ka tha

    tumhein nawaza hai sab mere maike walon ne

    tumhaare ghar mein ye sab tam-jham kis ka tha

    jise bazar se dilwa ke lae ho toffee

    main jaanti hun wo surat-haram kis ka tha

    main apne un se muKHatib hun aur kis se nahin

    mushaere mein paDha jo kalam kis ka tha

    nikal ke aai ho jis ghar se aaj ai 'sajni'

    batao saf wo bait-e-haram kis ka tha

    Source:

    Nigodiyat (Pg. 112)

    • Author: Sajid Sajni Lakhnawi
      • Publisher: Sajid Sajni Lakhnawi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now