baur aae hain peDon pe
baur aa.e haiñ peḌoñ pe
ghar ujḌeñge chiḌiyoñ ke
bārūdoñ kā daur hai ye
bam girte haiñ jhūloñ pe
choT lagī thī siine par
ḳhuuñ bahtā hai nathunoñ se
jaan bachā.e phirte haiñ
log āvāra kuttoñ se
kiich meñ loT ke bhī ḳhush haiñ
chehre dekho suaroñ ke
jis kā man ho le le kaam
ham kolhū ke bailoñ se
kitne hāmid lauT aa.e
kachrā biin ke meloñ se
sayyad sāhab kī yaarī
saqqoñ aur julāhoñ se
baur aae hain peDon pe
ghar ujDenge chiDiyon ke
barudon ka daur hai ye
bam girte hain jhulon pe
choT lagi thi sine par
KHun bahta hai nathunon se
jaan bachae phirte hain
log aawara kutton se
kich mein loT ke bhi KHush hain
chehre dekho suaron ke
jis ka man ho le le kaam
hum kolhu ke bailon se
kitne hamid lauT aae
kachra bin ke melon se
sayyad sahab ki yari
saqqon aur julahon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.