Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bayan-e-haal ko arz-e-talab samajhte hain

Rahat Hasan

bayan-e-haal ko arz-e-talab samajhte hain

Rahat Hasan

MORE BYRahat Hasan

    bayān-e-hāl ko arz-e-talab samajhte haiñ

    vo log jin hai da.avā ki sab samajhte haiñ

    sahīh ho ke ġhalat huuñ yahī ḳhatā merī

    ki maiñ jo huuñ vo mujhe log kab samajhte haiñ

    maiñ jin ke vahm-o-gumāñ ko faroġh detā huuñ

    mujhe haqīr vo ḳhud ke sabab samajhte haiñ

    tamām aib mujhī ko dikhā.ī dete haiñ

    so mere dost mujhī ko ajab samajhte haiñ

    sabaq hameñ bhī milā hai koī zarūr ki ham

    jo kuchh na pahle samajhte the ab samajhte haiñ

    zamīñ ho ḳhushk to fasleñ nahīñ ugā kartīñ

    is ek baat ko dariyā ke lab samajhte haiñ

    kisī zaat se vāqif koī nahīñ 'rāhat'

    agarche sab yahāñ nām-o-nasab samajhte haiñ

    bayan-e-haal ko arz-e-talab samajhte hain

    wo log jin ka hai dawa ki sab samajhte hain

    sahih ho ke ghalat hun yahi KHata meri

    ki main jo hun wo mujhe log kab samajhte hain

    main jin ke wahm-o-guman ko farogh deta hun

    mujhe haqir wo KHud ke sabab samajhte hain

    tamam aib mujhi ko dikhai dete hain

    so mere dost mujhi ko ajab samajhte hain

    sabaq hamein bhi mila hai koi zarur ki hum

    jo kuchh na pahle samajhte the ab samajhte hain

    zamin ho KHushk to faslen nahin uga kartin

    is ek baat ko dariya ke lab samajhte hain

    kisi ki zat se waqif koi nahin 'rahat'

    agarche sab yahan nam-o-nasab samajhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now