Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bayan sun na saka jab koi bayan ki tarah

Muneer Bhopali

bayan sun na saka jab koi bayan ki tarah

Muneer Bhopali

MORE BYMuneer Bhopali

    bayān sun na sakā jab koī bayāñ tarah

    sunāyā hāl-e-dil-e-zār dāstāñ tarah

    ye rāz-e-'ishq hamesha ko raaz rah jaatā

    nigāh kaam na kartī agar zabāñ tarah

    kahīñ hai bū-e-tamannā gul-e-murād kahīñ

    nihāl dil hai phailāo gulsitāñ tarah

    kisī ke ḳhanda-e-be-jā ab nahīñ shikva

    fuġhāñ bhī dil se nikaltī nahīñ fuġhāñ tarah

    ḳhayāl meñ haiñ bahāreñ nigāh meñ gulshan

    guzar rahī hai qafas meñ bhī āshiyāñ tarah

    banī hai dushman-e-har-ārzū vahī hasrat

    lagā ke siine se rakhtā huuñ us ko jaañ tarah

    jabīn-e-shauq batā.egī lazzat-e-sajda

    na dair hai na haram un ke āstāñ tarah

    zamāna aaj bhī nā-vāqif-e-haqīqat hai

    kabhī bahār-e-chaman huuñ kabhī ḳhizāñ tarah

    miTā ke hastī-e-dil bhī sukūn-e-dil na milā

    zamīñ hai sāya-fagan sar pe āsmāñ tarah

    kabhī na jhuk ke rahīñ sar-bulandiyāñ merī

    zamīñ pe 'umr guzārī hai āsmāñ tarah

    'munīr' un nazar ne badal diyā mujh ko

    ki ab hañsī bhī jo aatī hai to fuġhāñ tarah

    bayan sun na saka jab koi bayan ki tarah

    sunaya haal-e-dil-e-zar dastan ki tarah

    ye raaz-e-'ishq hamesha ko raaz rah jata

    nigah kaam na karti agar zaban ki tarah

    kahin hai bu-e-tamanna gul-e-murad kahin

    nihaal dil ka hai phailao gulsitan ki tarah

    kisi ke KHanda-e-be-ja ka ab nahin shikwa

    fughan bhi dil se nikalti nahin fughan ki tarah

    KHayal mein hain bahaaren nigah mein gulshan

    guzar rahi hai qafas mein bhi aashiyan ki tarah

    bani hai dushman-e-har-arzu wahi hasrat

    laga ke sine se rakhta hun us ko jaan ki tarah

    jabin-e-shauq bataegi lazzat-e-sajda

    na dair hai na haram un ke aastan ki tarah

    zamana aaj bhi na-waqif-e-haqiqat hai

    kabhi bahaar-e-chaman hun kabhi KHizan ki tarah

    miTa ke hasti-e-dil bhi sukun-e-dil na mila

    zamin hai saya-fagan sar pe aasman ki tarah

    kabhi na jhuk ke rahin sar-bulandiyan meri

    zamin pe 'umr guzari hai aasman ki tarah

    'munir' un ki nazar ne badal diya mujh ko

    ki ab hansi bhi jo aati hai to fughan ki tarah

    Source:

    Deewan-e-Muneer (Pg. 32)

    • Author: Muneer Bhopali
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now