bazm-e-alam ke raaz-dan hain hum
bazm-e-'ālam ke rāz-dāñ haiñ ham
yā'nī ā.īna-e-jahāñ haiñ ham
bāġh-e-urdu ke bāġhbāñ haiñ ham
lafz-o-mā'nī ke tarjumāñ haiñ ham
ham se qaa.em haiñ husn kī qadreñ
'ishq kī gard-e-kārvāñ haiñ ham
jis se vāqif na ho sakī duniyā
us mohabbat kī dāstāñ haiñ ham
ham zamīñ-bos tum falak-andāz
tum kahāñ par ho aur kahāñ haiñ ham
jo bhī kahnā hai aaj kah lo tum
kyūñki is vaqt be-zabāñ haiñ ham
pur-fitan daur meñ bhī ai 'arshī'
rāh-e-haq par ravāñ-davāñ haiñ ham
bazm-e-'alam ke raaz-dan hain hum
ya'ni aaina-e-jahan hain hum
bagh-e-urdu ke baghban hain hum
lafz-o-ma'ni ke tarjuman hain hum
hum se qaem hain husn ki qadren
'ishq ki gard-e-karwan hain hum
jis se waqif na ho saki duniya
us mohabbat ki dastan hain hum
hum zamin-bos tum falak-andaz
tum kahan par ho aur kahan hain hum
jo bhi kahna hai aaj kah lo tum
kyunki is waqt be-zaban hain hum
pur-fitan daur mein bhi ai 'arshi'
rah-e-haq par rawan-dawan hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.