Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bazm-e-alam mein bahut se humne mare hath-paon

Mirza Maseeta Beg Muntahi

bazm-e-alam mein bahut se humne mare hath-paon

Mirza Maseeta Beg Muntahi

MORE BYMirza Maseeta Beg Muntahi

    bazm-e-ālam meñ bahut se ham ne maare hāth-pāoñ

    terī sūrat ke na dekhe pyāre pyāre hāth-pāoñ

    bahr-e-ulfat meñ bahut se ham ne maare hāth-pāoñ

    lag rahe mānind-e-ḳhas āḳhir kināre hāth-pāoñ

    āshiq mū-e-kamar le ḳhabar o be-ḳhabar

    suukh kar tinkā hue haiñ us ke saare hāth-pāoñ

    merī ḳhidmat se nihāyat ḳhush huā vo bad-mizāj

    vasl shab kaam aa.e apne baare hāth-pāoñ

    bahr-e-hastī meñ milā ham ko dur-e-maqsad na haif

    mauj ke mānind kyā kyā ham ne maare hāth-pāoñ

    vaqt-e-zab.h bolā ye qātil āshiq-e-nād-shād se

    TukḌe kar Daalā kabhī ne jo maare hāth-pāoñ

    khel rahtā hai tavakkul par mirī auqāt

    chalte-phirte haiñ hamāre be-sahāre hāth-pāoñ

    tīkhī tīkhī un chitvan bāñkī bāñkī un chaal

    bholī bholī un sūrat pyāre pyāre hāth-pāoñ

    bazm-e-alam mein bahut se hum ne mare hath-paon

    teri surat ke na dekhe pyare pyare hath-paon

    bahr-e-ulfat mein bahut se hum ne mare hath-paon

    lag rahe manind-e-KHas aaKHir kinare hath-paon

    aashiq mu-e-kamar ki le KHabar o be-KHabar

    sukh kar tinka hue hain us ke sare hath-paon

    meri KHidmat se nihayat KHush hua wo bad-mizaj

    wasl ki shab kaam aae apne bare hath-paon

    bahr-e-hasti mein mila hum ko dur-e-maqsad na haif

    mauj ke manind kya kya hum ne mare hath-paon

    waqt-e-zabh bola ye qatil aashiq-e-nad-shad se

    TukDe kar Dala kabhi tu ne jo mare hath-paon

    khel rahta hai tawakkul par meri auqat ka

    chalte-phirte hain hamare be-sahaare hath-paon

    tikhi tikhi un ki chitwan banki banki un ki chaal

    bholi bholi un ki surat pyare pyare hath-paon

    Source:

    Deewan-e-MuntahiáKaristan-e-Fasahatâ (Pg. e-124 p-121)

    • Author: Mirza Maseeta Beg Muntahi
      • Edition: 1895
      • Publisher: Matba Yusufi, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now