Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bazm-e-jaanan mein mohabbat ka asar dekhenge

Charkh Chinioti

bazm-e-jaanan mein mohabbat ka asar dekhenge

Charkh Chinioti

MORE BYCharkh Chinioti

    bazm-e-jānāñ meñ mohabbat asar dekheñge

    kis se miltī hai nazar un nazar dekheñge

    ab na palkoñ pe Tiko TuuT ke barso ashko

    un kahnā hai ki ham dīda-e-tar dekheñge

    dhaḌkano tez chalo Dūbtī nabzo ubhro

    aaj vo bujhte charāġhoñ sahar dekheñge

    ai mire dil ke sulagte hue daġho bhaḌko

    hijr raat vo jaltā huā ghar dekheñge

    tere dar se hameñ ḳhairāt mile na mile

    ham tire dar ke sivā koī na dar dekheñge

    mai-kade jūmeñge barsegī javānī sharāb

    vo chhalaktī huī nazroñ se jidhar dekheñge

    un nazroñ se hai vābasta zamāne nazar

    vo jidhar dekheñge sab log udhar dekheñge

    aaj maazī ke fasāne vo suneñge ai 'charḳh'

    merī barbād umīdoñ ke khañDar dekheñge

    bazm-e-jaanan mein mohabbat ka asar dekhenge

    kis se milti hai nazar un ki nazar dekhenge

    ab na palkon pe Tiko TuT ke barso ashko

    un ka kahna hai ki hum dida-e-tar dekhenge

    dhaDkano tez chalo Dubti nabzo ubhro

    aaj wo bujhte charaghon ki sahar dekhenge

    ai mere dil ke sulagte hue dagho bhaDko

    hijr ki raat wo jalta hua ghar dekhenge

    tere dar se hamein KHairaat mile ya na mile

    hum tere dar ke siwa koi na dar dekhenge

    mai-kade jumenge barsegi jawani ki sharab

    wo chhalakti hui nazron se jidhar dekhenge

    un ki nazron se hai wabasta zamane ki nazar

    wo jidhar dekhenge sab log udhar dekhenge

    aaj mazi ke fasane wo sunenge ai 'charKH'

    meri barbaad umidon ke khanDar dekhenge

    Source:

    Husn-e-sukhan (Pg. B-30 E-31)

    • Author: Charkh Chinioti
      • Edition: 1987
      • Publisher: Charkh Chinioti
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now