aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bazm-e-KHuban se uThe dar-o-rasan tak pahunche

Nirmal Nadeem

bazm-e-KHuban se uThe dar-o-rasan tak pahunche

Nirmal Nadeem

MORE BYNirmal Nadeem

    bazm-e-ḳhūbāñ se uThe dār-o-rasan tak pahuñche

    aap aap mire paañv gagan tak pahuñche

    ek maiñ thā jo sayyād jholī meñ girā

    uḌ ga.e saare parinde jo chaman tak pahuñche

    sirf dil ko jalānā to koī baat nahīñ

    ishq ik aag agar hai to badan tak pahuñche

    bandishoñ numā.ish hai hayāt-e-ādam

    ek dhāge se bañdhe aur kafan tak pahuñche

    umr kamtar se koshish thī musalsal jaarī

    sher apnā bhī koī tarz-e-suḳhan tak pahuñche

    āḳhirī ek ye ḳhvāhish hai mire siine meñ

    ḳhaak jab merī uḌe apne vatan tak pahuñche

    sharm phuul maiñ āñkhoñ se terī chun lūñgā

    is se pahle ki jhaḌe aur dahan tak pahuñche

    āsmānoñ ko dabā legā vo pairoñ ke tale

    shauq insān gar us lagan tak pahuñche

    kyā zarūrat ki kareñ chal ke tavāf-e-duniyā

    fikr apnī ye agar gañg-o-jaman tak pahuñche

    soch lenā thā tujhe itnā ki kyā hogā 'nadīm'

    aaj sher agar tere sajan tak pahuñche

    bazm-e-KHuban se uThe dar-o-rasan tak pahunche

    aap hi aap mere panw gagan tak pahunche

    ek main hi tha jo sayyaad ki jholi mein gira

    uD gae sare parinde jo chaman tak pahunche

    sirf dil hi ko jalana to koi baat nahin

    ishq ek aag agar hai to badan tak pahunche

    bandishon hi ki numaish hai hayat-e-adam

    ek dhage se bandhe aur kafan tak pahunche

    umr kamtar hi se koshish thi musalsal jari

    sher apna bhi koi tarz-e-suKHan tak pahunche

    aaKHiri ek ye KHwahish hai mere sine mein

    KHak jab meri uDe apne watan tak pahunche

    sharm ka phul main aankhon se teri chun lunga

    is se pahle ki jhaDe aur dahan tak pahunche

    aasmanon ko daba lega wo pairon ke tale

    shauq insan ka gar us ki lagan tak pahunche

    kya zarurat ki karen chal ke tawaf-e-duniya

    fikr apni ye agar gang-o-jaman tak pahunche

    soch lena tha tujhe itna ki kya hoga 'nadim'

    aaj ka sher agar tere sajan tak pahunche

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now