bazm-e-nashat-e-KHas mein un ka waqar zain
bazm-e-nashāt-e-ḳhās meñ un kā vaqār 'zain'
ik raaz thā ghaḌī meñ huā āshkār zain
do din hī le ke aa.e the haq se udhār zain
vo bhī unhī pe karte haiñ kyoñ inhisār zain
pūchhā mujhe talāsh karoge javāb thā
terī tarah ke dekh chukā be-shumār zain
be-samt chal paḌe haiñ irāda udhar kā hai
niyyat pe hī 'amal kā hai dār-o-madār zain
pūchhā kisī ne kaun hai dil meñ dimāġh meñ
us ke laboñ pe aa gayā be-iḳhtiyār 'zain'
bazm-e-nashat-e-KHas mein un ka waqar 'zain'
ek raaz tha ghaDi mein hua aashkar zain
do din hi le ke aae the haq se udhaar zain
wo bhi unhi pe karte hain kyon inhisar zain
puchha mujhe talash karoge jawab tha
teri tarah ke dekh chuka be-shumar zain
be-samt chal paDe hain irada udhar ka hai
niyyat pe hi 'amal ka hai dar-o-madar zain
puchha kisi ne kaun hai dil mein dimagh mein
us ke labon pe aa gaya be-iKHtiyar 'zain'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.