bazm se dur rakha halqa-e-tanhai ne
bazm se duur rakhā halqa-e-tanhā.ī ne
mujh ko aane na diyā sat.h pe gahrā.ī ne
ab mire ḳhvāb alag haiñ mire ahbāb alag
is tarah mujh ko bikherā mirī yakjā.ī ne
jaane kyā sāniha guzrā ki parinde haiñ ḳhamosh
aur ik shor machā rakkhā hai añgnā.ī ne
merī nādānī uḌātī hai tamasḳhur merā
kis jagah lā ke Duboyā mujhe dānā.ī ne
bol uThā bol uThā shahr-e-ḳhamoshāñ 'ġhā.er'
vaah kyā kaam kiyā hai tirī goyā.ī ne
bazm se dur rakha halqa-e-tanhai ne
mujh ko aane na diya sath pe gahrai ne
ab mere KHwab alag hain mere ahbab alag
is tarah mujh ko bikhera meri yakjai ne
jaane kya saniha guzra ki parinde hain KHamosh
aur ek shor macha rakkha hai angnai ne
meri nadani uDati hai tamasKHur mera
kis jagah la ke Duboya mujhe danai ne
bol uTha bol uTha shahr-e-KHamoshan 'ghaer'
wah kya kaam kiya hai teri goyai ne
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 34)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.