Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-ghari ka apni ye izhaar kam kar dijiye

Rajesh Reddy

be-ghari ka apni ye izhaar kam kar dijiye

Rajesh Reddy

MORE BYRajesh Reddy

    be-gharī apnī ye iz.hār kam kar dījiye

    sher meñ zikr-e-dar-o-dīvār kam kar dījiye

    apnī tanhā.ī meñ itnā bhī ḳhalal achchhā nahīñ

    aap apne aap se guftār kam kar dījiye

    dushmanoñ ḳhud-ba-ḳhud ho jā.egī ta.adād kam

    yāroñ fihrist meñ kuchh yaar kam kar dījiye

    jab tavajjoh nahīñ maujūdgī kis kaam

    is kahānī meñ mirā kirdār kam kar dījiye

    sochiye ab itne chāragar kahāñ se ā.eñge

    muskurā kar apne kuchh bīmār kam kar dījiye

    aap bātoñ meñ aa kar jaan se to chuke

    ab to in meñ zahr miqdār kam kar dījiye

    be-ghari ka apni ye izhaar kam kar dijiye

    sher mein zikr-e-dar-o-diwar kam kar dijiye

    apni tanhai mein itna bhi KHalal achchha nahin

    aap apne aap se guftar kam kar dijiye

    dushmanon ki KHud-ba-KHud ho jaegi tadad kam

    yaron ki fihrist mein kuchh yar kam kar dijiye

    jab tawajjoh hi nahin maujudgi kis kaam ki

    is kahani mein mera kirdar kam kar dijiye

    sochiye ab itne chaaragar kahan se aaenge

    muskura kar apne kuchh bimar kam kar dijiye

    aap ki baaton mein aa kar jaan se to ja chuke

    ab to in mein zahr ki miqdar kam kar dijiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now