Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-had bechaini hai lekin maqsad zahir kuchh bhi nahin

Deepti Mishra

be-had bechaini hai lekin maqsad zahir kuchh bhi nahin

Deepti Mishra

MORE BYDeepti Mishra

    be-had bechainī hai lekin maqsad zāhir kuchh bhī nahīñ

    paanā khonā hañsnā ronā kyā hai āḳhir kuchh bhī nahīñ

    apnī apnī qismat sab apnā apnā hissa hai

    jism ḳhātir lākhoñ sāmāñ ruuh ḳhātir kuchh bhī nahīñ

    us baazī us ke mohre us chāleñ us jiit

    us ke aage saare qādir māhir shātir kuchh bhī nahīñ

    us honā honā ḳhud meñ ujāgar hotā hai

    gar vo hai to bhītar hai varna ba-zāhir kuchh bhī nahīñ

    duniyā se jo paayā us ne duniyā ko sauñp diyā

    ġhazleñ nazmeñ duniyā haiñ kyā hai shā.ir kuchh bhī nahīñ

    be-had bechaini hai lekin maqsad zahir kuchh bhi nahin

    pana khona hansna rona kya hai aaKHir kuchh bhi nahin

    apni apni qismat sab ki apna apna hissa hai

    jism ki KHatir lakhon saman ruh ki KHatir kuchh bhi nahin

    us ki bazi us ke mohre us ki chaalen us ki jit

    us ke aage sare qadir mahir shatir kuchh bhi nahin

    us ka hona ya na hona KHud mein ujagar hota hai

    gar wo hai to bhitar hi hai warna ba-zahir kuchh bhi nahin

    duniya se jo paya us ne duniya hi ko saunp diya

    ghazlen nazmen duniya ki hain kya hai shair kuchh bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now