Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-intiha ho qurb magar is qadar na ho

Amit Bajaj

be-intiha ho qurb magar is qadar na ho

Amit Bajaj

MORE BYAmit Bajaj

    be-intihā ho qurb magar is qadar na ho

    ham jis pe mar rahe haiñ usī ko ḳhabar na ho

    mauhūm sadā ho magar gūñjtī rahe

    ik aam du'ā ho magar be-asar na ho

    shānoñ zikr hote sar DhūñDte haiñ log

    sar-garmī-e-jahān itnī ḳhabar na ho

    shā'ir khīñch saktā hai paanī pe vo lakīr

    aisī ki ek buuñd idhar se udhar na ho

    bas do sūratoñ meñ nigāheñ haiñ mutma.in

    un par nazar rahe kisī par nazar na ho

    kis chāñd ne kahā thā ki rātoñ ko jāgiye

    kab dhuup ne kahā thā ki sar par shajar na ho

    is gumrahī meñ DhūñD na.ī manzileñ 'amit'

    aglā qadam vahāñ ho jahāñ rah-guzar na ho

    be-intiha ho qurb magar is qadar na ho

    hum jis pe mar rahe hain usi ko KHabar na ho

    mauhum si sada ho magar gunjti rahe

    ek aam si du'a ho magar be-asar na ho

    shanon ka zikr hote hi sar DhunDte hain log

    sar-garmi-e-jahan ki itni KHabar na ho

    sha'ir hi khinch sakta hai pani pe wo lakir

    aisi ki ek bund idhar se udhar na ho

    bas do hi suraton mein nigahen hain mutmain

    un par nazar rahe ya kisi par nazar na ho

    kis chand ne kaha tha ki raaton ko jagiye

    kab dhup ne kaha tha ki sar par shajar na ho

    is gumrahi mein DhunD nai manzilen 'amit'

    agla qadam wahan ho jahan rah-guzar na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now