Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-kaif masarrat bhi musibat si lage hai

Talib Chakwali

be-kaif masarrat bhi musibat si lage hai

Talib Chakwali

MORE BYTalib Chakwali

    Interesting Fact

    13 Sep 1976, New Delhi

    be-kaif masarrat bhī musībat lage hai

    ai dost mujhe ġham zarūrat lage hai

    rūdād mohabbat kisī ko na sunāo

    kuchh log haiñ jin ko ye shikāyat lage hai

    dam toḌtī qadroñ ko bachāne uchhal-kūd

    fitrat ke usūloñ se baġhāvat lage hai

    duniyā-e-tamāshā to badaltī hai ka.ī rañg

    gah ḳhvāb lage gaah haqīqat lage hai

    ehsās dhokā hai ye jazbāt jaadū

    apnoñ adāvat bhī mohabbat lage hai

    be-rabt ḳhayāloñ ke shagūfoñ latāfat

    majbūr ġharīboñ zehānat lage hai

    'tālib' ko sharāfat pe baḌā naaz thā lekin

    ab us sharāfat bhī himāqat lage hai

    be-kaif masarrat bhi musibat si lage hai

    ai dost mujhe gham ki zarurat si lage hai

    rudad mohabbat ki kisi ko na sunao

    kuchh log hain jin ko ye shikayat si lage hai

    dam toDti qadron ko bachane ki uchhal-kud

    fitrat ke usulon se baghawat si lage hai

    duniya-e-tamasha to badalti hai kai rang

    gah KHwab lage gah haqiqat si lage hai

    ehsas ka dhoka hai ye jazbaat ka jadu

    apnon ki adawat bhi mohabbat si lage hai

    be-rabt KHayalon ke shagufon ki latafat

    majbur gharibon ki zehanat si lage hai

    'talib' ko sharafat pe baDa naz tha lekin

    ab us ki sharafat bhi himaqat si lage hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now