Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-KHabar-e-hayat tha gham ne mujhe jaga diya

Jigar Barelvi

be-KHabar-e-hayat tha gham ne mujhe jaga diya

Jigar Barelvi

MORE BYJigar Barelvi

    be-ḳhabar-e-hayāt thā ġham ne mujhe jagā diyā

    ziist raaz khol kar maut aasrā diyā

    zulf-e-siyah yaad meñ ḳhauf-e-pas-e-fanā kahāñ

    tūl-e-shab-e-firāq ne sub.h ġham miTā diyā

    maut kahīñ nahīñ hameñ aur kahāñ nahīñ hai maut

    kis ne banā ke saḳht-jāñ siine meñ dil banā diyā

    talḳh to thā ġham-e-hayāt itnā na talḳh thā magar

    pūchh ke tum ne hāl-e-dil zahr mujhe pilā diyā

    aa ke palaT gayā koī aur na hameñ ḳhabar huī

    kaif-e-umīd-e-dīd ne shaam se sulā diyā

    ġham-kada-e-hayāt meñ aah maiñ vo charāġh huuñ

    sub.h huī jalā diyā shaam huī bujhā diyā

    haa.e vo dard kyā huā jis se thī zindagī mirī

    ḳhud miTā nahīñ hai dil dil ne mujhe miTā diyā

    haif ki be-kasī sharm aaj 'jigar' na rah sakī

    ujḌe hue mazār par kis ne diyā jalā diyā

    be-KHabar-e-hayat tha gham ne mujhe jaga diya

    zist ka raaz khol kar maut ka aasra diya

    zulf-e-siyah ki yaad mein KHauf-e-pas-e-fana kahan

    tul-e-shab-e-firaq ne subh ka gham miTa diya

    maut kahin nahin hamein aur kahan nahin hai maut

    kis ne bana ke saKHt-jaan sine mein dil bana diya

    talKH to tha gham-e-hayat itna na talKH tha magar

    puchh ke tum ne haal-e-dil zahr mujhe pila diya

    aa ke palaT gaya koi aur na hamein KHabar hui

    kaif-e-umid-e-did ne sham hi se sula diya

    gham-kada-e-hayat mein aah main wo charagh hun

    subh hui jala diya sham hui bujha diya

    hae wo dard kya hua jis se thi zindagi meri

    KHud hi miTa nahin hai dil dil ne mujhe miTa diya

    haif ki be-kasi ki sharm aaj 'jigar' na rah saki

    ujDe hue mazar par kis ne diya jala diya

    Source:

    Partav-e-ilhaam (Pg. 49)

    • Author: Jigar Barelvi
      • Edition: 2012
      • Publisher: Publisher Nizami Book Agency, Budaun
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now