Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-KHayali mein kaha tha ki shanasai nahin

Sidra Sahar Imran

be-KHayali mein kaha tha ki shanasai nahin

Sidra Sahar Imran

MORE BYSidra Sahar Imran

    be-ḳhayālī meñ kahā thā ki shanāsā.ī nahīñ

    zindagī ruuTh ga.ī lauT ke phir aa.ī nahīñ

    jo samajhnā na chāhe use samjhā.ī nahīñ

    jo bhī ik baar kahī baat vo dohrā.ī nahīñ

    husn saada hai tirā maiñ bhī bahut aam huuñ

    merī āñkhoñ meñ kisī niil gahrā.ī nahīñ

    merā hissa mujhe ḳhāmoshī se de detā hai

    dard ke aage hathelī kabhī phailā.ī nahīñ

    apne afkār liye pahlū-nashīñ ho ke rahā

    dil se darvesh ne duniyā tirī apnā.ī nahīñ

    shab ke tārīk laboñ par hai ka.ī saal chup

    ḳhud se nārāz hai itnī kabhī muskā.ī nahīñ

    baas phūloñ churā hai havāoñ ne magar

    jo kalī yaad terī hai vo murjhā.ī nahīñ

    aag ye donoñ taraf kyuuñ na barābar lage

    haa.e vo ishq kyā jis meñ pazīrā.ī nahīñ

    be-irāda bhī koī kaam ta.attul na paḌā

    bā-irāda thī mulāqāt shab aa.ī nahīñ

    be-KHayali mein kaha tha ki shanasai nahin

    zindagi ruTh gai lauT ke phir aai nahin

    jo samajhna hi na chahe use samjhai nahin

    jo bhi ek bar kahi baat wo dohrai nahin

    husn sada hai tera main bhi bahut aam si hun

    meri aankhon mein kisi nil ki gahrai nahin

    mera hissa mujhe KHamoshi se de deta hai

    dard ke aage hatheli kabhi phailai nahin

    apne afkar liye pahlu-nashin ho ke raha

    dil se darwesh ne duniya teri apnai nahin

    shab ke tarik labon par hai kai sal ki chup

    KHud se naraaz hai itni kabhi muskai nahin

    bas phulon ki chura li hai hawaon ne magar

    jo kali yaad ki teri hai wo murjhai nahin

    aag ye donon taraf kyun na barabar si lage

    hae wo ishq hi kya jis mein pazirai nahin

    be-irada bhi koi kaam tattul na paDa

    ba-irada thi mulaqat ki shab aai nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now