Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-KHud hain be-KHudi ki saza pa rahe hain hum

Anand Banarasi

be-KHud hain be-KHudi ki saza pa rahe hain hum

Anand Banarasi

MORE BYAnand Banarasi

    be-ḳhud haiñ be-ḳhudī sazā rahe haiñ ham

    misl-e-habāb ban ke miTe rahe haiñ ham

    ma.abūd kaun mashq-e-ibādat the kis liye

    nāhaq ye bojh sar pe liye rahe haiñ ham

    vaa.iz sharāb piine de ham se gila na kar

    saaqī pilā rahā hai piye rahe haiñ ham

    hogī tirī guzar na kabhī jis dayār meñ

    zāhid hameñ na chheḌ vahīñ rahe haiñ ham

    'ānand' ke karishme sabhī soz-o-sāz haiñ

    har nai meñ saut-e-ġhaib sune rahe haiñ ham

    be-KHud hain be-KHudi ki saza pa rahe hain hum

    misl-e-habab ban ke miTe ja rahe hain hum

    mabud kaun mashq-e-ibaadat the kis liye

    nahaq ye bojh sar pe liye ja rahe hain hum

    waiz sharab pine de hum se gila na kar

    saqi pila raha hai piye ja rahe hain hum

    hogi teri guzar na kabhi jis dayar mein

    zahid hamein na chheD wahin ja rahe hain hum

    'anand' ke karishme sabhi soz-o-saz hain

    har nai mein saut-e-ghaib sune ja rahe hain hum

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 137)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now