Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-KHudi mein pahlu-e-iqrar pahle to na tha

Qateel Shifai

be-KHudi mein pahlu-e-iqrar pahle to na tha

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    be-ḳhudī meñ pahlū-e-iqrār pahle to na thā

    itnā ġhāfil vo but-e-ayyār pahle to na thā

    ahl-e-dil jaate haiñ ab dār-o-rasan raah se

    is qadar mushkil visāl-e-yār pahle to na thā

    misr galiyāñ utar aa.ī haiñ apne shahr meñ

    husn vāloñ ye hāl-e-zār pahle to na thā

    aa rahī hai ḳhud-baḳhud shāyad koī manzil qarīb

    mehrbāñ yuuñ qāfila-sālār pahle to na thā

    us meñ bhī kuchh raaz hai varna dayār-e-husn meñ

    dard-mandoñ koī ġham-ḳhvār pahle to na thā

    hosh meñ aane lage haiñ un bahāroñ ke tufail

    varna dīvānoñ ye kirdār pahle to na thā

    roz-o-shab apne liye haiñ qatl ke fatve 'qatīl'

    muftī-e-shahr is qadar dīn-dār pahle to na thā

    be-KHudi mein pahlu-e-iqrar pahle to na tha

    itna ghafil wo but-e-ayyar pahle to na tha

    ahl-e-dil jate hain ab dar-o-rasan ki rah se

    is qadar mushkil visal-e-yar pahle to na tha

    misr ki galiyan utar aai hain apne shahr mein

    husn walon ka ye haal-e-zar pahle to na tha

    aa rahi hai KHud-baKHud shayad koi manzil qarib

    mehrban yun qafila-salar pahle to na tha

    us mein bhi kuchh raaz hai warna dayar-e-husn mein

    dard-mandon ka koi gham-KHwar pahle to na tha

    hosh mein aane lage hain un bahaaron ke tufail

    warna diwanon ka ye kirdar pahle to na tha

    roz-o-shab apne liye hain qatl ke fatwe 'qatil'

    mufti-e-shahr is qadar din-dar pahle to na tha

    Source:

    Kalam Qateel Shifai (Pg. 94)

    • Author: Qateel Shifai
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now