Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-mehri-e-arbab-e-watan kam to nahin hai

Syed Shafaq Shah Chishti

be-mehri-e-arbab-e-watan kam to nahin hai

Syed Shafaq Shah Chishti

MORE BYSyed Shafaq Shah Chishti

    be-mehrī-e-arbāb-e-vatan kam to nahīñ hai

    haañ dekhnā is dil chubhan kam to nahīñ hai

    manzil to jahāñ chāheñge qadmoñ se lagegī

    vaise ye haqīqat hai thakan kam to nahīñ hai

    ye dhyān hamesha rahe o bhūlne vaale

    chhāloñ tapish dil jalan kam to nahīñ hai

    phir ho koī paimāñ kareñ phir tujh pe bharosa

    ye hausla ai ahd-shikan kam to nahīñ hai

    raste meñ zarā ham-safaro dekhte rahnā

    kāñToñ ke bichhāne chalan kam to nahīñ hai

    rakhtī hai ḳhayāl is bahut kuchh mirī taqdīr

    pahle se mire dil kuḌhan kam to nahīñ hai

    vo ġham hai ki yak-gūna asīrī hai aalam

    ye sarzanish-e-ranj-o-mehan kam to nahīñ hai

    kyā baat hai ab tak jo salāmat hai nasheman

    kuchh be-ruḳhī-e-ahl-e-chaman kam to nahīñ hai

    ye kah ke tujhe DhūñDegī duniyā 'shafaq' ik roz

    mahfil meñ koī sāhab-e-fan kam to nahīñ hai

    be-mehri-e-arbab-e-watan kam to nahin hai

    han dekhna is dil ki chubhan kam to nahin hai

    manzil to jahan chahenge qadmon se lagegi

    waise ye haqiqat hai thakan kam to nahin hai

    ye dhyan hamesha rahe o bhulne wale

    chhaalon ki tapish dil ki jalan kam to nahin hai

    phir ho koi paiman karen phir tujh pe bharosa

    ye hausla ai ahd-shikan kam to nahin hai

    raste mein zara ham-safaro dekhte rahna

    kanTon ke bichhane ka chalan kam to nahin hai

    rakhti hai KHayal is ka bahut kuchh meri taqdir

    pahle se mere dil ki kuDhan kam to nahin hai

    wo gham hai ki yak-guna asiri ka hai aalam

    ye sarzanish-e-ranj-o-mehan kam to nahin hai

    kya baat hai ab tak jo salamat hai nasheman

    kuchh be-ruKHi-e-ahl-e-chaman kam to nahin hai

    ye kah ke tujhe DhunDegi duniya 'shafaq' ek roz

    mahfil mein koi sahab-e-fan kam to nahin hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now