Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-nam se phirte the kaam aa gai ruswai

Indr Mohan Mehta Kaif

be-nam se phirte the kaam aa gai ruswai

Indr Mohan Mehta Kaif

MORE BYIndr Mohan Mehta Kaif

    be-nām se phirte the kaam aa ga.ī rusvā.ī

    har ajnabī chehre par pahchān ubhar aa.ī

    har raat dar-e-dil par dastak diye jaatā hai

    sone nahīñ detā ik jazba-e-saudā.ī

    jo bā.is-e-ranjish thī us baat charchā kyā

    us ne bhī nahīñ pūchhī maiñ ne bhī na dohrā.ī

    ġham ek musāfir hai kyā jaane kahāñ Thahre

    āñkhoñ namī bah kar lahje meñ utar aa.ī

    ham 'kaif' thake haare chaurāhe pe baiThe

    DhūñDī to kahāñ kar is shahr meñ tanhā.ī

    be-nam se phirte the kaam aa gai ruswai

    har ajnabi chehre par pahchan ubhar aai

    har raat dar-e-dil par dastak diye jata hai

    sone hi nahin deta ek jazba-e-saudai

    jo bais-e-ranjish thi us baat ka charcha kya

    us ne bhi nahin puchhi main ne bhi na dohrai

    gham ek musafir hai kya jaane kahan Thahre

    aankhon ki nami bah kar lahje mein utar aai

    hum 'kaif' thake haare chaurahe pe ja baiThe

    DhunDi to kahan ja kar is shahr mein tanhai

    Source:

    Dosrey Din Ka Suraj (Pg. 44)

    • Author: Indr Mohan Mehta Kaif
      • Publisher: Indr Mohan Mehta Kaif
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now