Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-niyaz-e-bahaar sa kyun hai

Ghayas Anjum

be-niyaz-e-bahaar sa kyun hai

Ghayas Anjum

MORE BYGhayas Anjum

    be-niyāz-e-bahār kyuuñ hai

    dil ko zaḳhmoñ se pyaar kyuuñ hai

    vo ḳhafā haiñ ki ham ġharīboñ ko

    ġham pe kuchh iḳhtiyār kyuuñ hai

    merī āñkhoñ ke ḳhvāb to ġham haiñ

    vo magar be-qarār kyuuñ hai

    aks us meñ thā kis ke chehre

    aa.ina sañgsār kyuuñ hai

    āhaTeñ paas aa ke duur huiiñ

    ham ko phir intizār kyuuñ hai

    kyā koī sandalī mahak uḌī

    dil mirā pur-ḳhumār kyuuñ hai

    zindagī talḳh hai bahut 'anjum'

    phir bhī zālim se pyaar kyuuñ hai

    be-niyaz-e-bahaar sa kyun hai

    dil ko zaKHmon se pyar sa kyun hai

    wo KHafa hain ki hum gharibon ko

    gham pe kuchh iKHtiyar sa kyun hai

    meri aankhon ke KHwab to gham hain

    wo magar be-qarar sa kyun hai

    aks us mein tha kis ke chehre ka

    aaina sangsar sa kyun hai

    aahaTen pas aa ke dur huin

    hum ko phir intizar sa kyun hai

    kya koi sandali mahak si uDi

    dil mera pur-KHumar sa kyun hai

    zindagi talKH hai bahut 'anjum'

    phir bhi zalim se pyar sa kyun hai

    Source:

    Saat Suron Ki Mithi Halchal (Pg. B-108 E-109)

    • Author: Ghayas Anjum
      • Edition: 2010
      • Publisher: Gulistan Publications, Kolkata
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now