Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-qanaat qafile hirs-o-hawa oDhe hue

Zafar Moradabadi

be-qanaat qafile hirs-o-hawa oDhe hue

Zafar Moradabadi

MORE BYZafar Moradabadi

    be-qanā.at qāfile hirs-o-havā oḌhe hue

    manzileñ bhī kyuuñ na hoñ phir fāsla oḌhe hue

    is qadar ḳhilqat magar hai maut ko fursat bahut

    har bashar hai aaj ḳhud apnī qazā oḌhe hue

    un ke bātin meñ milā shaitān masnad-nashīñ

    jo ba-zāhir the bahut nām-e-ḳhudā oḌhe hue

    kyā kare koī kisī se pursish-e-ahvāl bhī

    aaj sab haiñ apnī apnī karbalā oḌhe hue

    kyā ḳhabar kis moḌ par bikhre matā-e-ehtiyāt

    pattharoñ ke shahr meñ huuñ ā.īna oḌhe hue

    sab dilāse us ke jhūTe us ke sab vaade fareb

    kab tak āḳhir ham raheñ sabr-o-razā oḌhe hue

    kyuuñ tazabzub meñ na hoñ is daur ke ahl-e-nazar

    gumrahī hai āgahī falsafa oḌhe hue

    uñgliyāñ majrūh ho jā.eñgī rahnā duur duur

    ḳhaar bhī haiñ in dinoñ gul ridā oḌhe hue

    Dhaal us ban ga.ī hai sab balāoñ ke ḳhilāf

    ghar se jo niklā buzurgoñ duā oḌhe hue

    baḳhshishoñ se jis ḳhaas o aam sab the faiz-yāb

    ham bhī the us bazm meñ lekin anā oḌhe hue

    fasl-e-gul aa.ī to vīrāne bhī mahke har taraf

    aaj ḳhud ḳhushbū ko thī bād-e-sabā oḌhe hue

    ik zamīñ tañg kyā thī us se jab bichhḌe 'zafar'

    āsmāñ bhī thā ġhazab-parvar ghaTā oḌhe hue

    be-qanaat qafile hirs-o-hawa oDhe hue

    manzilen bhi kyun na hon phir fasla oDhe hue

    is qadar KHilqat magar hai maut ko fursat bahut

    har bashar hai aaj KHud apni qaza oDhe hue

    un ke baatin mein mila shaitan hi masnad-nashin

    jo ba-zahir the bahut nam-e-KHuda oDhe hue

    kya kare koi kisi se pursish-e-ahwal bhi

    aaj sab hain apni apni karbala oDhe hue

    kya KHabar kis moD par bikhre mata-e-ehtiyat

    pattharon ke shahr mein hun aaina oDhe hue

    sab dilase us ke jhuTe us ke sab wade fareb

    kab tak aaKHir hum rahen sabr-o-raza oDhe hue

    kyun tazabzub mein na hon is daur ke ahl-e-nazar

    gumrahi hai aagahi ka falsafa oDhe hue

    ungliyan majruh ho jaengi rahna dur dur

    KHar bhi hain in dinon gul ki rida oDhe hue

    Dhaal us ki ban gai hai sab balaon ke KHilaf

    ghar se jo nikla buzurgon ki dua oDhe hue

    baKHshishon se jis ki KHas o aam sab the faiz-yab

    hum bhi the us bazm mein lekin ana oDhe hue

    fasl-e-gul aai to virane bhi mahke har taraf

    aaj KHud KHushbu ko thi baad-e-saba oDhe hue

    ek zamin hi tang kya thi us se jab bichhDe 'zafar'

    aasman bhi tha ghazab-parwar ghaTa oDhe hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now