Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-qarari jo idhar hai wo udhar hai ki nahin

Sada Ambalvi

be-qarari jo idhar hai wo udhar hai ki nahin

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    be-qarārī jo idhar hai vo udhar hai ki nahīñ

    ye nazar jaise hai be-kal vo nazar hai ki nahīñ

    dil hālat bigaḌnā to hai ma.amūl magar

    vo jo haiñ is sabab un ko ḳhabar hai ki nahīñ

    go nigāhoñ se nigāheñ to milī haiñ aksar

    rabt us dil ko kuchh is dil se magar hai ki nahīñ

    ye shab-e-hijr mirī jaañ na le jaa.e kahīñ

    na sahī vasl muqaddar meñ sahar hai ki nahīñ

    kyoñ mirī ruuh ko har pal ye gumāñ rahtā hai

    jis makāñ meñ hai makīñ us ghar hai ki nahīñ

    dost chhoḌ ā.eñge be-shak mujhe shamshān talak

    us ke aage nahīñ ma.alūm safar hai ki nahīñ

    'ārifo kyā hai majāz aur haqīqat kyā hai

    vo jo aatā hai nigāhoñ ko nazar hai ki nahīñ

    paḌh ke dīvān-e-'sadā' bolo zarā naqqādo

    sher kahne kuchh us meñ bhī hunar hai ki nahīñ

    be-qarari jo idhar hai wo udhar hai ki nahin

    ye nazar jaise hai be-kal wo nazar hai ki nahin

    dil ki haalat ka bigaDna to hai mamul magar

    wo jo hain is ka sabab un ko KHabar hai ki nahin

    go nigahon se nigahen to mili hain aksar

    rabt us dil ko kuchh is dil se magar hai ki nahin

    ye shab-e-hijr meri jaan hi na le jae kahin

    na sahi wasl muqaddar mein sahar hai ki nahin

    kyon meri ruh ko har pal ye guman rahta hai

    jis makan mein hai makin us ka hi ghar hai ki nahin

    dost chhoD aaenge be-shak mujhe shamshan talak

    us ke aage nahin malum safar hai ki nahin

    'arifo kya hai majaz aur haqiqat kya hai

    wo jo aata hai nigahon ko nazar hai ki nahin

    paDh ke diwan-e-'sada' bolo zara naqqado

    sher kahne ka kuchh us mein bhi hunar hai ki nahin

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghulam Abbas

    Ghulam Abbas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now