Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-rang baDe shahr ki hasti bhi wahin thi

Farhat Ehsas

be-rang baDe shahr ki hasti bhi wahin thi

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    be-rañg baḌe shahr hastī bhī vahīñ thī

    ik rañg uḌātī huī titlī bhī vahīñ thī

    bāzār ke jaadū na thī kaaT mire paas

    jo chiiz burī thī vahī achchhī bhī vahīñ thī

    bas ik tirā chehra na thā mahfil-e-gul meñ

    belā bhī thā champā bhī chamelī bhī vahīñ thī

    is baaḌh meñ kartā thā jahāñ bhī maiñ kināra

    andar se ubaltī mirī naddī bhī vahīñ thī

    sailāb-e-badan us jo aayā to gayā maiñ

    har chand mire jism kashtī bhī vahīñ thī

    ai ishq jahāñ ne mujhe jam.a kiyā thā

    miTTī mirī āḳhir ko bikharnī bhī vahīñ thī

    afsos ga.ī qabr bhī 'ehsās'-miyāñ

    ye qabr jahāñ thī mirī miTTī bhī vahīñ thī

    be-rang baDe shahr ki hasti bhi wahin thi

    ek rang uDati hui titli bhi wahin thi

    bazar ke jadu ki na thi kaT mere pas

    jo chiz buri thi wahi achchhi bhi wahin thi

    bas ek tera chehra hi na tha mahfil-e-gul mein

    bela bhi tha champa bhi chameli bhi wahin thi

    is baDh mein karta tha jahan bhi main kinara

    andar se ubalti meri naddi bhi wahin thi

    sailab-e-badan us ka jo aaya to gaya main

    har chand mere jism ki kashti bhi wahin thi

    ai ishq jahan tu ne mujhe jama kiya tha

    miTTi meri aaKHir ko bikharni bhi wahin thi

    afsos gai qabr bhi 'ehsas'-miyan ki

    ye qabr jahan thi meri miTTi bhi wahin thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now