Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-ruKH hai wo pari dil-e-diwana kya kare

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

be-ruKH hai wo pari dil-e-diwana kya kare

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    be-ruḳh hai vo parī dil-e-dīvāna kyā kare

    ro ro ke aañkh bhartī hai paimāna kyā kare

    dast-o-zabān-o-dīda-o-dil detī haiñ duā

    karte haiñ vo yagāne ki begāna kyā kare

    kahtā murġh-e-dil se vo hāl-e-myān-e-ḳhat

    sabza jo daam ho to use daana kyā kare

    bebas kiyā hai mujh ko sar-e-zulf-e-yār ne

    zanjīr paañv meñ ho to dīvāna kyā kare

    jaadū hai aañkh surma na kyūñ-kar rahe ḳhamosh

    sarkash zulf kāñdhe na de shāna kyā kare

    dil ko na daaġh dījiye bose chaaT par

    jo bechtā na hove vo bai.āna kyā kare

    be-ruKH hai wo pari dil-e-diwana kya kare

    ro ro ke aankh bharti hai paimana kya kare

    dast-o-zaban-o-dida-o-dil deti hain dua

    karte hain wo yagane ki begana kya kare

    kahta hi murgh-e-dil se wo haal-e-myan-e-KHat

    sabza jo dam ho to use dana kya kare

    bebas kiya hai mujh ko sar-e-zulf-e-yar ne

    zanjir panw mein ho to diwana kya kare

    jadu hai aankh surma na kyun-kar rahe KHamosh

    sarkash hi zulf kandhe na de shana kya kare

    dil ko na dagh dijiye bose ki chaT par

    jo bechta na howe wo baiana kya kare

    Source:

    Deewan-e-Naseem (Pg. 67)

    • Author: Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
      • Publisher: Matba Gulshan-e-Faiz, Lucknow
      • Year of Publication: 1895
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now