Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-ruKHi se qabl ulfat mein musibat kam na thi

Prem Lal Shifa Dehlvi

be-ruKHi se qabl ulfat mein musibat kam na thi

Prem Lal Shifa Dehlvi

MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi

    be-ruḳhī se qabl ulfat meñ musībat kam na thī

    un se kuchh taskīn thī varna aziyyat kam na thī

    inqilāb-e-dahr se hai un ye begāngī

    varna ham se bhī kabhī sāhab-salāmat kam na thī

    husn-e-insāñ aarzī hai iltifāt-e-husn bhī

    un ke dil meñ bhī kabhī merī mohabbat kam na thī

    ham ḳhudā ko DhūñDh lete raah par chalte agar

    jazba-e-dil kam na thā duniyā meñ fursat kam na thī

    ho ke ham nākām samjhe pyaar ke qābil thā kaun

    har qadam par yuuñ to ulfat meñ nasīhat kam na thī

    vo to the dil meñ makīñ ham DhūñDh laate arsh se

    ham meñ himmat kam na thī dil meñ aqīdat kam na thī

    ashk ho kar rah ga.e nā-qadr-dānī shikār

    qadr-dāñ miltā 'shifā' to in qīmat kam na thī

    be-ruKHi se qabl ulfat mein musibat kam na thi

    un se kuchh taskin thi warna aziyyat kam na thi

    inqilab-e-dahr se hai un ki ye begangi

    warna hum se bhi kabhi sahab-salamat kam na thi

    husn-e-insan aarzi hai iltifat-e-husn bhi

    un ke dil mein bhi kabhi meri mohabbat kam na thi

    hum KHuda ko DhunDh lete rah par chalte agar

    jazba-e-dil kam na tha duniya mein fursat kam na thi

    ho ke hum nakaam samjhe pyar ke qabil tha kaun

    har qadam par yun to ulfat mein nasihat kam na thi

    wo to the dil mein makin hum DhunDh late arsh se

    hum mein himmat kam na thi dil mein aqidat kam na thi

    ashk ho kar rah gae na-qadr-dani ka shikar

    qadr-dan milta 'shifa' to in ki qimat kam na thi

    Source:

    Nuskha-e-Shifa (Pg. 71)

    • Author: Prem Lal Shifa Dehlvi
      • Publisher: Prem Lal Shifa Dehlvi
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now