be-sabab aankh ashk-bar nahin
be-sabab aañkh ashk-bār nahīñ
terī nazroñ meñ ab vo pyaar nahīñ
kaash aisā bhī koī gulshan ho
sirf ġhunche hoñ jis meñ ḳhaar nahīñ
aaj iz.hār-e-hāl karne do
ab hameñ dil pe iḳhtiyār nahīñ
jis ko dekho vahī taḌaptā hai
'ishq meñ kaun be-qarār nahīñ
kho ga.e raah dekhne vaale
ab kisī ko bhī intizār nahīñ
be-his-o-be-vafā hai ye duniyā
aur tū bhī vafā shi'ār nahīñ
be-sabab aankh ashk-bar nahin
teri nazron mein ab wo pyar nahin
kash aisa bhi koi gulshan ho
sirf ghunche hon jis mein KHar nahin
aaj izhaar-e-haal karne do
ab hamein dil pe iKHtiyar nahin
jis ko dekho wahi taDapta hai
'ishq mein kaun be-qarar nahin
kho gae rah dekhne wale
ab kisi ko bhi intizar nahin
be-his-o-be-wafa hai ye duniya
aur tu bhi wafa shi'ar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.