be-sada Thahre honTh khol ke hum
be-sadā Thahre hoñTh khol ke ham
aa chuke tang bol bol ke ham
sar pe maañ kī du'ā kā saaya nahīñ
ghar se nikle haiñ jhuuT bol ke ham
apne andar bhī ik tamāshā hai
kyā kareñ khiḌkiyoñ ko khol ke ham
naam us kā liyā nahīñ jaatā
baat karte haiñ naap tol ke ham
vo milegā magar milegā kise
use DhūñDeñge ḳhud ko rol ke ham
shāyad apnī sadā sunā.ī de
dekh lete haiñ ūñchā bol ke ham
jo milā us pe mar miTe 'tābish'
kitne achchhe the mel-jol ke ham
be-sada Thahre honTh khol ke hum
aa chuke tang bol bol ke hum
sar pe man ki du'a ka saya nahin
ghar se nikle hain jhuT bol ke hum
apne andar bhi ek tamasha hai
kya karen khiDkiyon ko khol ke hum
nam us ka liya nahin jata
baat karte hain nap tol ke hum
wo milega magar milega kise
use DhunDenge KHud ko rol ke hum
shayad apni sada sunai de
dekh lete hain uncha bol ke hum
jo mila us pe mar miTe 'tabish'
kitne achchhe the mel-jol ke hum
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 79)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.