Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-sar-o-saman kuchh apni taba se hain ghar mein hum

Shahab Jafri

be-sar-o-saman kuchh apni taba se hain ghar mein hum

Shahab Jafri

MORE BYShahab Jafri

    be-sar-o-sāmāñ kuchh apnī tab.a se haiñ ghar meñ ham

    shahr kahte haiñ jise haiñ us ke pas-manzar meñ ham

    shaam Duubī paḌ rahe sūraj ke dar par shab shab

    sub.h bikhrī chal paḌe ḳhud ko liye Thokar meñ ham

    āgahī ne hameñ kin vus.atoñ meñ gum kiyā

    be-nishāñ har mulk meñ be-āsrā har ghar meñ ham

    apne sahrā meñ kho jā.eñge andāza na thā

    bāzgasht apnī liye phirte haiñ apne sar meñ ham

    sātveñ dar tak pukār aa.ī ḳhudī ko be-ḳhudī

    aur har dar se javāb aayā nahīñ haiñ ghar meñ ham

    terī dastak thī ki sannāTā vahī har shaam

    rahrav-e-koh-e-nidā haiñ ghar ke bām-o-dar meñ ham

    chār-sū sahrā meñ hai dard-e-anassahrā guuñj

    kaaT kar apnī zabāñ rakh aa.e the patthar meñ ham

    chhān ye sahrā ghuTī haiñ is chauhad meñ sadā.eñ

    kaaT ye parbat dabe haiñ is ḳhākistar meñ ham

    ab hameñ bhātā nahīñ paiham sadāoñ nuzūl

    ab to ḳhud gūñje hue haiñ gumbad-e-be-dar meñ ham

    kiyāñ makāñ taakā hai dil ne raat aur din se pare

    be-zabāñ hote chale haiñ qaid-e-bām-o-dar meñ ham

    jaane is rah-rav nazreñ kaun manzil pe hoñ

    ek kāñTā khaTakte haiñ dil-e-rahbar meñ ham

    zahr pyāla ho piinā uThānī ho salīb

    sadiyoñ ba.ad aa.eñ magar hote haiñ is manzar meñ ham

    dasht-dar-dasht āsmāñ-bar-dosh chalte haiñ 'shahāb'

    ham se banjāre janm apnā liye Thokar meñ ham

    be-sar-o-saman kuchh apni taba se hain ghar mein hum

    shahr kahte hain jise hain us ke pas-manzar mein hum

    sham Dubi paD rahe suraj ke dar par shab ki shab

    subh bikhri chal paDe KHud ko liye Thokar mein hum

    aagahi tu ne hamein kin wusaton mein gum kiya

    be-nishan har mulk mein be-asra har ghar mein hum

    apne hi sahra mein kho jaenge andaza na tha

    bazgasht apni liye phirte hain apne sar mein hum

    satwen dar tak pukar aai KHudi ko be-KHudi

    aur har dar se jawab aaya nahin hain ghar mein hum

    teri dastak thi ki sannaTa wahi har sham ka

    rahraw-e-koh-e-nida hain ghar ke baam-o-dar mein hum

    chaar-su sahra mein hai dard-e-anassahra ki gunj

    kaT kar apni zaban rakh aae the patthar mein hum

    chhan ye sahra ghuTi hain is ki chauhad mein sadaen

    kaT ye parbat dabe hain is ki KHakistar mein hum

    ab hamein bhata nahin paiham sadaon ka nuzul

    ab to KHud gunje hue hain gumbad-e-be-dar mein hum

    kiyan makan taka hai dil ne raat aur din se pare

    be-zaban hote chale hain qaid-e-baam-o-dar mein hum

    jaane is rah-raw ki nazren kaun si manzil pe hon

    ek kanTa sa khaTakte hain dil-e-rahbar mein hum

    zahr ka pyala ho pina ya uThani ho salib

    sadiyon baad aaen magar hote hain is manzar mein hum

    dasht-dar-dasht aasman-bar-dosh chalte hain 'shahab'

    hum se banjare janm apna liye Thokar mein hum

    Source:

    Karwaan-e-Ghazal (Pg. 233)

    • Author: Farooq Argali
      • Edition: 2004
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now