Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-sud ek silsila-e-imtihan na khol

Hakeem Manzoor

be-sud ek silsila-e-imtihan na khol

Hakeem Manzoor

MORE BYHakeem Manzoor

    be-sūd ek silsila-e-imtihāñ na khol

    sab dekh dekhtā chalā zabāñ na khol

    andar na ho zarā bāhar bhī dekh le

    dil ḳhuun hai to aañkh pe ḳhūnīñ samāñ na khol

    ik gard chhā.egī tire momī dimāġh par

    thamne de āñdhiyoñ ko abhī khiḌkiyāñ na khol

    chhup jā.egā kahāñ tire hisse āftāb

    ai sāya-gard sar pe koī sā.ebāñ na khol

    imkān ho to kar le havā se musālahat

    be-fā.eda hai varna koī bādbāñ na khol

    un se yaqīñ daulat-e-nāyāb maañg

    āñkhoñ pe apnī koī fusūñ aur gumāñ na khol

    'manzūr' harf harf qalam hisāb de

    lekin fuzūl daftar-e-sūd-o-ziyāñ na khol

    be-sud ek silsila-e-imtihan na khol

    sab dekh dekhta hi chala ja zaban na khol

    andar ka hi na ho zara bahar bhi dekh le

    dil KHun hai to aankh pe KHunin saman na khol

    ek gard chhaegi tere momi dimagh par

    thamne de aandhiyon ko abhi khiDkiyan na khol

    chhup jaega kahan tere hisse ka aaftab

    ai saya-gard sar pe koi saeban na khol

    imkan ho to kar le hawa se musalahat

    be-faeda hai warna koi baadban na khol

    un se yaqin ki daulat-e-nayab mang tu

    aankhon pe apni koi fusun aur guman na khol

    'manzur' harf harf qalam ka hisab de

    lekin fuzul daftar-e-sud-o-ziyan na khol

    Source:

    Natamam (Pg. 61)

    • Author: Hakeem Manzoor
      • Edition: 1977
      • Publisher: Samt Publication 2/48 Rajendar Nagar New Delhi-110060
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now