Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-talluq sare rishte kaun kis ka aashna

Bilqis Zafirul Hasan

be-talluq sare rishte kaun kis ka aashna

Bilqis Zafirul Hasan

MORE BYBilqis Zafirul Hasan

    be-ta.alluq saare rishte kaun kis āshnā

    saath saa.e tarah sab aur sab nā-āshnā

    karb jaarī hai bajā.e ḳhuuñ ragoñ meñ sāhibo

    kaun hai ham jahāñ meñ ġham se itnā āshnā

    haañ hamārī nibh to saktī thī magar kaise nibhe

    apnī ḳhuddārī meñ ham aur vo vafā nā-āshnā

    ek ik muñh takeñ begānagī ke shahr meñ

    ab kaheñ kyā kis se ham ab kaun apnā āshnā

    niiv baiThī rahī hai saarī dīvāreñ ga.iiñ

    ghar baasī ghar hālat se nahīñ kyā āshnā

    jo na karnā thā karāyā aur nādim bhī nahīñ

    ai dil-e-nādāñ kisī ho na tujh āshnā

    ajnabī ik dūsre se baat kyā karte nahīñ

    ik zarā se saath meñ kyā āshnā nā-āshnā

    ḳhum ba ḳhum chhalke tirī sahbā nasha qaa.im rahe

    lazzat-e-zahrāb ġham se kab huā thā āshnā

    pāra-e-sīmāb bhī 'bilqīs' Thahrā hai kahīñ

    vo talavvun-kesh kis dost kis āshnā

    be-talluq sare rishte kaun kis ka aashna

    sath sae ki tarah sab aur sab na-ashna

    karb jari hai bajae KHun ragon mein sahibo

    kaun hai hum sa jahan mein gham se itna aashna

    han hamari nibh to sakti thi magar kaise nibhe

    apni KHuddari mein hum aur wo wafa na-ashna

    ek ek ka munh taken beganagi ke shahr mein

    ab kahen kya kis se hum ab kaun apna aashna

    niw baiThi ja rahi hai sari diwaren gain

    ghar ka basi ghar ki haalat se nahin kya aashna

    jo na karna tha karaya aur nadim bhi nahin

    ai dil-e-nadan kisi ka ho na tujh sa aashna

    ajnabi ek dusre se baat kya karte nahin

    ek zara se sath mein kya aashna na-ashna

    KHum ba KHum chhalke teri sahba nasha qaim rahe

    lazzat-e-zahrab gham se kab hua tha aashna

    para-e-simab bhi 'bilqis' Thahra hai kahin

    wo talawwun-kesh kis ka dost kis ka aashna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now