Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-Thikane hai dil-e-gham-gin Thikane ki kaho

Firaq Gorakhpuri

be-Thikane hai dil-e-gham-gin Thikane ki kaho

Firaq Gorakhpuri

MORE BYFiraq Gorakhpuri

    be-Thikāne hai dil-e-ġham-gīñ Thikāne kaho

    shām-e-hijrāñ dosto kuchh is ke aane kaho

    haañ na pūchho ik giraftār-e-qafas zindagī

    ham-safīrān-e-chaman kuchh āshiyāne kaho

    uḌ gayā hai manzil-e-dushvār meñ ġham samand

    gesū-e-pur-pech-o-ḳham ke tāziyāne kaho

    baat bantī aur bātoñ se nazar aatī nahīñ

    us nigāh-e-nāz bāteñ banāne kaho

    dāstāñ vo thī jise dil bujhte bujhte kah gayā

    sham-e-bazm-e-zindagī ke jhilmilāne kaho

    kuchh dil-e-marhūm bāteñ karo ai ahl-e-ilm

    jis se vīrāne the ābād us divāne kaho

    dāstān-e-zindagī bhī kis qadar dilchasp hai

    jo azal se chhiḌ gayā hai us fasāne kaho

    ye fusūn-e-nīm-e-shab ye ḳhvāb-sāmāñ ḳhāmushī

    sāmrī fan aañkh ke jaadū jagāne kaho

    koī kyā khā.egā yuuñ sachchī qasam jhūTī qasam

    us nigāh-e-nāz saugandh khāne kaho

    shaam se gosh-bar-āvāz hai bazm-e-suḳhan

    kuchh 'firāq' apnī sunāo kuchh zamāne kaho

    be-Thikane hai dil-e-gham-gin Thikane ki kaho

    sham-e-hijran dosto kuchh is ke aane ki kaho

    han na puchho ek giraftar-e-qafas ki zindagi

    ham-safiran-e-chaman kuchh aashiyane ki kaho

    uD gaya hai manzil-e-dushwar mein gham ka samand

    gesu-e-pur-pech-o-KHam ke taziyane ki kaho

    baat banti aur baaton se nazar aati nahin

    us nigah-e-naz ki baaten banane ki kaho

    dastan wo thi jise dil bujhte bujhte kah gaya

    sham-e-bazm-e-zindagi ke jhilmilane ki kaho

    kuchh dil-e-marhum ki baaten karo ai ahl-e-ilm

    jis se virane the aabaad us diwane ki kaho

    dastan-e-zindagi bhi kis qadar dilchasp hai

    jo azal se chhiD gaya hai us fasane ki kaho

    ye fusun-e-nim-e-shab ye KHwab-saman KHamushi

    samri fan aankh ke jadu jagane ki kaho

    koi kya khaega yun sachchi qasam jhuTi qasam

    us nigah-e-naz ki saugandh khane ki kaho

    sham hi se gosh-bar-awaz hai bazm-e-suKHan

    kuchh 'firaq' apni sunao kuchh zamane ki kaho

    Source:

    Gul-e-Naghma (Pg. 81)

    • Author: Firaq Gorakhpuri
      • Edition: 2006
      • Publisher: Idarah idarah ilm-o-adab, Delhi
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now