Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-zaban kaliyon ka dil maila kiya

Wazir Agha

be-zaban kaliyon ka dil maila kiya

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    be-zabāñ kaliyoñ dil mailā kiyā

    ai havā-e-sub.h ne kyā kiyā

    atā har gul ko ik rañgīñ qabā

    bū-e-gul ko shahr meñ rusvā kiyā

    kyā tujhe vo sub.h-e-kāzib yaad hai

    raushnī se ne jab parda kiyā

    be-ḳhayālī meñ sitāre chun liye

    jagmagātī raat ko andhā kiyā

    jaate jaate shaam yak-dam hans paḌī

    ik sitāra der tak royā kiyā

    ruuTh kar ghar se gayā kitnī baar

    kyā dar-o-dīvār ne pīchhā kiyā

    apnī uryānī chhupāne ke liye

    ne saare shahr ko nañgā kiyā

    be-zaban kaliyon ka dil maila kiya

    ai hawa-e-subh tu ne kya kiya

    ki ata har gul ko ek rangin qaba

    bu-e-gul ko shahr mein ruswa kiya

    kya tujhe wo subh-e-kazib yaad hai

    raushni se tu ne jab parda kiya

    be-KHayali mein sitare chun liye

    jagmagati raat ko andha kiya

    jate jate sham yak-dam hans paDi

    ek sitara der tak roya kiya

    ruTh kar ghar se gaya tu kitni bar

    kya dar-o-diwar ne pichha kiya

    apni uryani chhupane ke liye

    tu ne sare shahr ko nanga kiya

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 529)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now