Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-zabani bais-e-tashhir-e-ulfat ho gai

Bazm Ansari

be-zabani bais-e-tashhir-e-ulfat ho gai

Bazm Ansari

MORE BYBazm Ansari

    be-zabānī bā.is-e-tash.hīr-e-ulfat ho ga.ī

    zabt had se guzarnā thā ki shohrat ho ga.ī

    muskurā kar aap ne tai kar diyā ik marhala

    ab mujhe kuchh aap se kahne jur.at ho ga.ī

    luT ga.e go ham mohabbat meñ magar ye to huā

    pyaar karnā har kisī se apnī aadat ho ga.ī

    sochtā huuñ vo na ab dil se utar jaa.e kahīñ

    is qadar tanhā.iyoñ se dil ko raġhbat ho ga.ī

    'bazm' is dil burā ho chhin ga.e sab iḳhtiyār

    bandagī bechārgī ab apnī qismat ho ga.ī

    be-zabani bais-e-tashhir-e-ulfat ho gai

    zabt ka had se guzarna tha ki shohrat ho gai

    muskura kar aap ne tai kar diya ek marhala

    ab mujhe kuchh aap se kahne ki jurat ho gai

    luT gae go hum mohabbat mein magar ye to hua

    pyar karna har kisi se apni aadat ho gai

    sochta hun wo na ab dil se utar jae kahin

    is qadar tanhaiyon se dil ko raghbat ho gai

    'bazm' is dil ka bura ho chhin gae sab iKHtiyar

    bandagi bechaargi ab apni qismat ho gai

    Source:

    Aab Joo (Pg. 74)

    • Author: Bazm Ansari
      • Publisher: Naz Printing Press, Karachi
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now