Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bebasi ke daur mein kya muskurana chhoD den

Tarun Bhardwaj

bebasi ke daur mein kya muskurana chhoD den

Tarun Bhardwaj

MORE BYTarun Bhardwaj

    bebasī ke daur meñ kyā muskurānā chhoḌ deñ

    tum nahīñ aa.e to ham sajde meñ aanā chhoḌ deñ

    āñdhiyoñ ruḳh hamārī or hai be-shak rahe

    ye nahīñ hogā ki ham dīpak jalānā chhoḌ deñ

    ham ne apnī āstīnoñ ko khulā rahne diyā

    ab hamāre saañp bhī to phusphusānā chhoḌ deñ

    ye nahīñ hogā bhale jang chhiḌ jaa.e abhī

    ham kisī ke ḳhauf se khānā kamānā chhoḌ deñ

    ham zamāne se ḳhafā haiñ is ye matlab nahīñ

    aap ke hāthoñ meñ ham saarā zamānā chhoḌ deñ

    dushmanī yaarī meñ badlī hai hamārī aaj

    ham tumheñ kyoñ aaj se āzmānā chhoḌ deñ

    bebasi ke daur mein kya muskurana chhoD den

    tum nahin aae to hum sajde mein aana chhoD den

    aandhiyon ka ruKH hamari or hai be-shak rahe

    ye nahin hoga ki hum dipak jalana chhoD den

    hum ne apni aastinon ko khula rahne diya

    ab hamare sanp bhi to phusphusana chhoD den

    ye nahin hoga bhale hi jang chhiD jae abhi

    hum kisi ke KHauf se khana kamana chhoD den

    hum zamane se KHafa hain is ka ye matlab nahin

    aap ke hathon mein hum sara zamana chhoD den

    dushmani yari mein badli hai hamari aaj hi

    hum tumhein kyon aaj se hi aazmana chhoD den

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now