Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bedil ka taKHayyul hun na ghaalib ki nawa hun

Sadique Naseem

bedil ka taKHayyul hun na ghaalib ki nawa hun

Sadique Naseem

MORE BYSadique Naseem

    'bedil' taḳhayyul huuñ na ġhālib navā huuñ

    is qāfila-e-rafta naqsh-e-kaf-e-pā huuñ

    raqsāñ hai charāġhān-e-tamannā mire harsū

    vo raushaniyāñ haiñ ki maiñ saa.e se judā huuñ

    jab dasht-e-alam se koī jhoñkā kabhī aayā

    maiñ lāla-e-ḳhud-rav tarah aur khilā huuñ

    zulmāt-amāñ bhī huuñ ujāloñ amiiñ bhī

    maiñ sub.h ke taare tarah Duub rahā huuñ

    aflāk-rasī se bhī talāfī nahīñ hotī

    kis azm an-dekhī chaTānoñ se girā huuñ

    har aks-e-muqābil se numāyāñ hai mirā naqsh

    duniyā meñ huuñ ā.ina-ḳhāne meñ khaḌā huuñ

    mahdūd hai kyuuñ hadd-e-talab tak mirī parvāz

    maiñ mauj-e-sabā ho ke bhī zanjīr-ba-pā huuñ

    idrāk ke sho.aloñ chaman hai mirā āhañg

    maiñ barg-e-ḳhizāñ ho ke bhī gulzār-numā huuñ

    ehsās ke ġhunchoñ chaTak hai mirī āvāz

    maiñ sīna-e-āfāq meñ dhaḌkan sadā huuñ

    har chand ki nas nas meñ nihāñ barq-e-tapāñ hai

    khul kar bhī barastā huuñ ki ghanghor ghaTā huuñ

    ek ek kiran meñ tire sau rañg nazar aa.e

    jab pichhle pahar chāñd ke hamrāh chalā huuñ

    ik naġhma-e-rañgīñ huuñ lab-e-sāz-e-mizha par

    'sādiq' jaras-e-ġhuncha huuñ tasvīr-e-sadā huuñ

    'bedil' ka taKHayyul hun na ghaalib ki nawa hun

    is qafila-e-rafta ka naqsh-e-kaf-e-pa hun

    raqsan hai charaghan-e-tamanna mere harsu

    wo raushaniyan hain ki main sae se juda hun

    jab dasht-e-alam se koi jhonka kabhi aaya

    main lala-e-KHud-raw ki tarah aur khila hun

    zulmat-aman bhi hun ujalon ka amin bhi

    main subh ke tare ki tarah Dub raha hun

    aflak-rasi se bhi talafi nahin hoti

    kis azm ki an-dekhi chaTanon se gira hun

    har aks-e-muqabil se numayan hai mera naqsh

    duniya mein hun ya aaina-KHane mein khaDa hun

    mahdud hai kyun hadd-e-talab tak meri parwaz

    main mauj-e-saba ho ke bhi zanjir-ba-pa hun

    idrak ke shoalon ka chaman hai mera aahang

    main barg-e-KHizan ho ke bhi gulzar-numa hun

    ehsas ke ghunchon ki chaTak hai meri aawaz

    main sina-e-afaq mein dhaDkan ki sada hun

    har chand ki nas nas mein nihan barq-e-tapan hai

    khul kar bhi barasta hun ki ghanghor ghaTa hun

    ek ek kiran mein tere sau rang nazar aae

    jab pichhle pahar chand ke hamrah chala hun

    ek naghma-e-rangin hun lab-e-saz-e-mizha par

    'sadiq' jaras-e-ghuncha hun taswir-e-sada hun

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 469)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now