Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

begana-e-manzil wo nahin rahguzar mein

Nadim Balkhi

begana-e-manzil wo nahin rahguzar mein

Nadim Balkhi

MORE BYNadim Balkhi

    begāna-e-manzil vo nahīñ rāhguzar meñ

    jis ke liye ārām hai ālām safar meñ

    rakkhe na basīrat tavāzun jo nazar meñ

    DhūñDegā faqat aib vo kār-e-hunar meñ

    girdāb se laḌte haiñ jo girdāb ke ghar meñ

    sāhil unheñ miltā hai samundar ke safar meñ

    aa.ī haiñ taḳhayyul ke do-āba se havā.eñ

    tūfāñ jo subuk-sair hai dariyā-e-hunar meñ

    yuuñ dard sūraj mirī rag rag meñ samāyā

    garmī-e-vafā phail ga.ī dil ke khañDar meñ

    ḳhalvat ko tirī yaad purvā.ī jo bhaa.ī

    phūle hue gulzār manzar hai nazar meñ

    har jins-e-girāñ-qadr ehsās jinheñ hai

    rakhte haiñ vahī dil lahū dīda-e-tar meñ

    ġhunche jo ġham-e-hijr ke mausam ne khilā.e

    misl-e-gul-e-shādāb mahakte haiñ jigar meñ

    vo log ujāle ke nigah-dār kahāñ haiñ

    sirf aaya nazar daaġh jinheñ rū-e-qamar meñ

    ai kushta-e-ummīd na paas us ke

    pattoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ bāñjh shajar meñ

    vallāh mohabbat bharam hai to unhīñ se

    badnām-e-zamāna jo haiñ duniyā nazar meñ

    āshufta-mizājī bhī sāmāñ ise kahiye

    vo ātish-e-ḳhāmosh jo ḳhufta hai sharar meñ

    kuchh garmī-e-bāzār-e-vafā hai to unhīñ se

    saudā-e-junūñ-ḳhez liye jo bhī haiñ sar meñ

    hushiyār-o-ḳhabar-dār sar-e-rāh musāfir

    aaseb ḳhatra bhī hai pariyoñ ke nagar meñ

    zulmat nahīñ ḳhāna-e-iflās meñ 'nādim'

    iḳhlās-o-sharāfat ujālā bhī hai ghar meñ

    begana-e-manzil wo nahin rahguzar mein

    jis ke liye aaram hai aalam safar mein

    rakkhe na basirat ka tawazun jo nazar mein

    DhunDega faqat aib hi wo kar-e-hunar mein

    girdab se laDte hain jo girdab ke ghar mein

    sahil unhen milta hai samundar ke safar mein

    aai hain taKHayyul ke do-aba se hawaen

    tufan jo subuk-sair hai dariya-e-hunar mein

    yun dard ka suraj meri rag rag mein samaya

    garmi-e-wafa phail gai dil ke khanDar mein

    KHalwat ko teri yaad ki purwai jo bhai

    phule hue gulzar ka manzar hai nazar mein

    har jins-e-giran-qadr ka ehsas jinhen hai

    rakhte hain wahi dil ka lahu dida-e-tar mein

    ghunche jo gham-e-hijr ke mausam ne khilae

    misl-e-gul-e-shadab mahakte hain jigar mein

    wo log ujale ke nigah-dar kahan hain

    sirf aaya nazar dagh jinhen ru-e-qamar mein

    ai kushta-e-ummid na ja pas tu us ke

    patton ke siwa kuchh bhi nahin banjh shajar mein

    wallah mohabbat ka bharam hai to unhin se

    badnam-e-zamana jo hain duniya ki nazar mein

    aashufta-mizaji ka bhi saman ise kahiye

    wo aatish-e-KHamosh jo KHufta hai sharar mein

    kuchh garmi-e-bazar-e-wafa hai to unhin se

    sauda-e-junun-KHez liye jo bhi hain sar mein

    hushiyar-o-KHabar-dar sar-e-rah musafir

    aaseb ka KHatra bhi hai pariyon ke nagar mein

    zulmat hi nahin KHana-e-iflas mein 'nadim'

    iKHlas-o-sharafat ka ujala bhi hai ghar mein

    Source:

    Dhoop Mein Sehra Noridi (Pg. 39)

    • Author: Nadim Balkhi
      • Publisher: Mustafa Balkhi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now