Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

behaal se hum kyon rahte hain kyon chaak hai daman kya kahiye

Pandit Vidya Rattan Asi

behaal se hum kyon rahte hain kyon chaak hai daman kya kahiye

Pandit Vidya Rattan Asi

MORE BYPandit Vidya Rattan Asi

    behāl se ham kyoñ rahte haiñ kyoñ chaak hai dāman kyā kahiye

    ye jog liyā hai barsoñ se ham ne kis kāran kyā kahiye

    ye manzil-e-haq ke dīvāno kuchh soch karo kuchh kar guzro

    kyā jaane kab kyā kar guzre ye vaqt rāvan kyā kahiye

    ik vo bhī aalam thā ki tirī pal bhar judā.ī Dastī thī

    ab soch hai kyoñ kar kāTeñge parbat ye jīvan kyā kahiye

    zaḳhmoñ pe zaḳhm bhī khātā hai is par bhī ye kab baaz aatā hai

    phir pyaar ke naġhme gaatā hai is dil laḌakpan kiyā kahiye

    jab yaad kisī aa.ī hai ham ḳhuun ke aañsū ro.e haiñ

    ai 'āsī' yuuñ bhī āñkhoñ se barsā hai sāvan kyā kahiye

    behaal se hum kyon rahte hain kyon chaak hai daman kya kahiye

    ye jog liya hai barson se hum ne kis karan kya kahiye

    ye manzil-e-haq ke diwano kuchh soch karo kuchh kar guzro

    kya jaane kab kya kar guzre ye waqt ka rawan kya kahiye

    ek wo bhi aalam tha ki teri pal bhar ki judai Dasti thi

    ab soch hai kyon kar kaTenge parbat ye jiwan kya kahiye

    zaKHmon pe zaKHm bhi khata hai is par bhi ye kab baz aata hai

    phir pyar ke naghme gata hai is dil ka laDakpan kiya kahiye

    jab yaad kisi ki aai hai hum KHun ke aansu roe hain

    ai 'asi' yun bhi aankhon se barsa hai sawan kya kahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now