Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

beja na tha uTh baiThna bechaini se mera

Shuoor Bilgrami

beja na tha uTh baiThna bechaini se mera

Shuoor Bilgrami

MORE BYShuoor Bilgrami

    bejā na thā uTh baiThnā bechainī se merā

    shab sāmne āñkhoñ ke vo tasvīr khaḌī thī

    ik haath dharā dil pe ik añgusht dahan meñ

    yuuñ kushta-e-ulfat tire laash paḌī thī

    us gauhar-e-yaktā jo maiñ yaad meñ royā

    har ashk-e-musalsal mirā motī laḌī thī

    sadme se shab-e-hijr ke jiitā jo bachā

    bīmār-e-tap-e-hijr tirī umr baḌī thī

    us ne hai āsān dam-e-teġh se varna

    manzil ye 'shu.ūr' apne liye saḳht kaḌī thī

    beja na tha uTh baiThna bechaini se mera

    shab samne aankhon ke wo taswir khaDi thi

    ek hath dhara dil pe ek angusht dahan mein

    yun kushta-e-ulfat ki tere lash paDi thi

    us gauhar-e-yakta ki jo main yaad mein roya

    har ashk-e-musalsal mera moti ki laDi thi

    sadme se shab-e-hijr ke jita jo bacha tu

    bimar-e-tap-e-hijr teri umr baDi thi

    ki us ne hai aasan dam-e-tegh se warna

    manzil ye 'shuur' apne liye saKHt kaDi thi

    Source:

    Intekhab-e-kalam Shuur Bilgiramii (Pg. 88)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now