aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bekar ye ghussa hai kyun uski taraf dekho

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

bekar ye ghussa hai kyun uski taraf dekho

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    bekār ye ġhussa hai kyuuñ us taraf dekho

    ā.īne hastī kyā tum apnī taraf dekho

    mahdūd hai nazzāra jab haiñ yahī do-ālam

    apnī taraf dekho merī taraf dekho

    milne se nigāhoñ ke kyā fā.eda hotā hai

    ye baat maiñ samjhā duuñ tum merī taraf dekho

    muñh pher liyā sab ne bīmār ko jab dekhā

    dekhā nahīñ jaatā vo tum jis taraf dekho

    manzūr 'azīz' us irfān jo hai tum ko

    dekho na kisī jānib apnī taraf dekho

    bekar ye ghussa hai kyun us ki taraf dekho

    aaine ki hasti kya tum apni taraf dekho

    mahdud hai nazzara jab hain yahi do-alam

    ya apni taraf dekho ya meri taraf dekho

    milne se nigahon ke kya faeda hota hai

    ye baat main samjha dun tum meri taraf dekho

    munh pher liya sab ne bimar ko jab dekha

    dekha nahin jata wo tum jis ki taraf dekho

    manzur 'aziz' us ka irfan jo hai tum ko

    dekho na kisi jaanib apni hi taraf dekho

    Source:

    Gulkadah(Majmua-e-Ghazliyat) (Pg. e-110 p-82)

    • Author: Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
      • Edition: 1936
      • Publisher: Siddique Book Depot, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now