Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bekali dard mein shamil kabhi aisi to na thi

Kaleem Saronji

bekali dard mein shamil kabhi aisi to na thi

Kaleem Saronji

MORE BYKaleem Saronji

    bekalī dard meñ shāmil kabhī aisī to na thī

    tab.a-e-parvāna-e-mahfil kabhī aisī to na thī

    aql gum-karda-e-manzil kabhī aisī to na thī

    zindagī meñ koī mushkil kabhī aisī to na thī

    manzil-e-ishq meñ kuchh mere junūñ se pahle

    azmat-e-lailā-e-mahmil kabhī aisī to na thī

    inqilābāt-e-zamāna karam hai varna

    baat karnī hameñ mushkil kabhī aisī to na thī

    kār-farmā na thā jab daur-e-siyāsat ai dost

    maslahat juzv-e-marāhil kabhī aisī to na thī

    itne pur-haul na the aql-o-junūñ ke jhagḌe

    ziist barham-kun-e-mahfil kabhī aisī to na thī

    bekali dard mein shamil kabhi aisi to na thi

    taba-e-parwana-e-mahfil kabhi aisi to na thi

    aql gum-karda-e-manzil kabhi aisi to na thi

    zindagi mein koi mushkil kabhi aisi to na thi

    manzil-e-ishq mein kuchh mere junun se pahle

    azmat-e-laila-e-mahmil kabhi aisi to na thi

    inqilabaat-e-zamana ka karam hai warna

    baat karni hamein mushkil kabhi aisi to na thi

    kar-farma na tha jab daur-e-siyasat ai dost

    maslahat juzw-e-marahil kabhi aisi to na thi

    itne pur-haul na the aql-o-junun ke jhagDe

    zist barham-kun-e-mahfil kabhi aisi to na thi

    Source:

    Waraq Waraq (Pg. 36)

    • Author: Kaleem Saronji
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now