dil gham se bhi bezar hai malum nahin kyon
dil ġham se bhī bezār hai ma.alūm nahīñ kyoñ
ye aish bhī ab yaar hai ma.alūm nahīñ kyoñ
aalam hama dildār hai ma.alūm nahīñ kyoñ
jo ġham hai ġham-e-yār hai ma.alūm nahīñ kyoñ
ab husn bhī kuchh sāmne aane meñ hai mohtāt
ab ishq bhī ḳhuddār hai ma.alūm nahīñ kyoñ
vo ishq jo har jalva-e-rañgīñ pe fidā hai
ḳhud apnā talabgār hai ma.alūm nahīñ kyoñ
kuchh roz se vo 'kaif' jo ik gosha-nashīñ thā
rusvā sar-e-bāzār hai ma.alūm nahīñ kyoñ
dil gham se bhi bezar hai malum nahin kyon
ye aish bhi ab yar hai malum nahin kyon
aalam hama dildar hai malum nahin kyon
jo gham hai gham-e-yar hai malum nahin kyon
ab husn bhi kuchh samne aane mein hai mohtat
ab ishq bhi KHuddar hai malum nahin kyon
wo ishq jo har jalwa-e-rangin pe fida hai
KHud apna talabgar hai malum nahin kyon
kuchh roz se wo 'kaif' jo ek gosha-nashin tha
ruswa sar-e-bazar hai malum nahin kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.