gham ki saughat hai KHamoshi hai
ġham kī sauġhāt hai ḳhamoshī hai
chāñdnī raat hai ḳhamoshī hai
maiñ akelā nahīñ ki bāteñ hoñ
vo mire saat hai ḳhamoshī hai
merī barbādiyoñ kī sāzish meñ
zabt kā haat hai ḳhamoshī hai
kaisā aaseb hai ki har jānib
jashn-e-jazbāt hai ḳhamoshī hai
vaqt ke zaḳhm zaḳhm hoñToñ par
an-kahī baat hai ḳhamoshī hai
phir usī tarah garm māthe par
kāñptā haath hai ḳhamoshī hai
sub.h-e-nau ho ki shām-e-ġham 'aslam'
gosha-e-zāt hai ḳhamoshī hai
gham ki saughat hai KHamoshi hai
chandni raat hai KHamoshi hai
main akela nahin ki baaten hon
wo mere sat hai KHamoshi hai
meri barbaadiyon ki sazish mein
zabt ka hat hai KHamoshi hai
kaisa aaseb hai ki har jaanib
jashn-e-jazbaat hai KHamoshi hai
waqt ke zaKHm zaKHm honTon par
an-kahi baat hai KHamoshi hai
phir usi tarah garm mathe par
kanpta hath hai KHamoshi hai
subh-e-nau ho ki sham-e-gham 'aslam'
gosha-e-zat hai KHamoshi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.