Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bewafa gar hai wo tajdid-e-wafa ho kaise

Shafeeq Nadvi

bewafa gar hai wo tajdid-e-wafa ho kaise

Shafeeq Nadvi

MORE BYShafeeq Nadvi

    bevafā gar hai vo tajdīd-e-vafā ho kaise

    dard dil davā ho to davā ho kaise

    vo kabhī 'mīr' hai likhtā kabhī ḳhud ko 'ġhālib'

    harf aa jā.egā tanqīd ravā ho kaise

    jalva-gar har-sū farozāñ jo daraḳhshāñ mujh meñ

    ho na gar duur nigāhoñ se ḳhudā ho kaise

    ishq kab khel tamāsha hai ye koī dil

    qarz hai sar pe mere koī adā ho kaise

    maiñ ki ik banda-e-ḳhātī huuñ khaḌā huuñ dar par

    lafz majbūr haiñ sab hamd-o-sanā ho kaise

    maiñ huuñ tum hameñ jiinā hai kisī ḳhātir

    ruuh jism se rishta hai judā ho kaise

    ab to bas ye hai ki ho jaa.eñ fanā ham donoñ

    kyā kareñ umr ye ab sarf-e-duā ho kaise

    sirf patthar nahīñ ho bhī lahū kuchh dil meñ

    sar paTakne se koī rang-e-hinā ho kaise

    bewafa gar hai wo tajdid-e-wafa ho kaise

    dard hi dil ki dawa ho to dawa ho kaise

    wo kabhi 'mir' hai likhta kabhi KHud ko 'ghaalib'

    harf aa jaega tanqid rawa ho kaise

    jalwa-gar har-su farozan jo daraKHshan mujh mein

    ho na gar dur nigahon se KHuda ho kaise

    ishq kab khel tamasha hai ye koi dil ka

    qarz hai sar pe mere koi ada ho kaise

    main ki ek banda-e-KHati hun khaDa hun dar par

    lafz majbur hain sab hamd-o-sana ho kaise

    main hun ya tum hamein jina hai kisi ki KHatir

    ruh ka jism se rishta hai juda ho kaise

    ab to bas ye hai ki ho jaen fana hum donon

    kya karen umr ye ab sarf-e-dua ho kaise

    sirf patthar hi nahin ho bhi lahu kuchh dil mein

    sar paTakne se koi rang-e-hina ho kaise

    Source:

    Gul Ye Kaf-e-Naaz Mein (Pg. 22)

    • Author: Shafeeq Nadvi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now