Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhaDe ka ek makan hun mujhko KHabar nahin hai

Tripurari

bhaDe ka ek makan hun mujhko KHabar nahin hai

Tripurari

MORE BYTripurari

    bhāḌe ik makāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai

    apnā mehmāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai

    koī batā.e mujh ko zinda huuñ mar chukā huuñ

    gar huuñ to maiñ kahāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai

    kuchh bhī nahīñ bachā hai bas duur tak ḳhalā hai

    kyā maiñ āsmāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai

    tum mere darmiyāñ ho mujh ko pata hai lekin

    maiñ kis ke darmiyāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai

    kuchh sau arab sitāre mujh meñ haiñ dafn ya.anī

    maiñ ek kahkashāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai

    apne zehn-o-dil par chhāyā huā huuñ kab se

    bādal huuñ dhuāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai

    koī ḳhayāl huuñ maiñ phir savāl huuñ maiñ

    maiñ kaun samāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai

    kirdār mar chuke haiñ lekin maiñ rahā huuñ

    maiñ kaisī dāstāñ huuñ mujh ko ḳhabar nahīñ hai

    bhaDe ka ek makan hun mujh ko KHabar nahin hai

    apna hi mehman hun mujh ko KHabar nahin hai

    koi batae mujh ko zinda hun mar chuka hun

    gar hun to main kahan hun mujh ko KHabar nahin hai

    kuchh bhi nahin bacha hai bas dur tak KHala hai

    kya main hi aasman hun mujh ko KHabar nahin hai

    tum mere darmiyan ho mujh ko pata hai lekin

    main kis ke darmiyan hun mujh ko KHabar nahin hai

    kuchh sau arab sitare mujh mein hain dafn yani

    main ek kahkashan hun mujh ko KHabar nahin hai

    apne hi zehn-o-dil par chhaya hua hun kab se

    baadal hun ya dhuan hun mujh ko KHabar nahin hai

    koi KHayal hun main ya phir sawal hun main

    main kaun sa saman hun mujh ko KHabar nahin hai

    kirdar mar chuke hain lekin main ji raha hun

    main kaisi dastan hun mujh ko KHabar nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now