Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhaDak uTThenge shoale ek din duniya ki mahfil mein

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

bhaDak uTThenge shoale ek din duniya ki mahfil mein

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    bhaḌak uTTheñge sho.ale ek din duniyā mahfil meñ

    kahāñ tak jazb hoñgī bijliyāñ sabr-āzmā dil meñ

    lahū rone lageñge sāz-e-ishrat chheḌne vaale

    are ye dard āvāz-e-shikast-e-shīsha-e-dil meñ

    ye chhīñTeñ ḳhuun kaafī haiñ mere baḳhshavāne ko

    nazar aatī hai jannat vus.at-e-dāmān-e-qātil meñ

    abad tak kaukab-e-baḳht-e-sa.ādat ban ke chamkeñge

    hue haiñ jazb jo qatre lahū ke teġh-e-qātil meñ

    junūn-e-be-sar-o-sāmāñ zīnat dekhne vaale

    mabādā farq aa.e ishq tadbīr-e-manzil meñ

    hazāroñ saal soz-e-dil ne thī dozaḳh-āshāmī

    qadam rakhte mere lag ga.ī ik aag mahfil meñ

    magar bhūle nahīñ ho yaad ab tak 'abr-o-'hāmid'

    'azīz' āḳhir vo quvvat kyuuñ nahīñ baaqī rahī dil meñ

    bhaDak uTThenge shoale ek din duniya ki mahfil mein

    kahan tak jazb hongi bijliyan sabr-azma dil mein

    lahu rone lagenge saz-e-ishrat chheDne wale

    are ye dard aawaz-e-shikast-e-shisha-e-dil mein

    ye chhinTen KHun ki kafi hain mere baKHshawane ko

    nazar aati hai jannat wusat-e-daman-e-qatil mein

    abad tak kaukab-e-baKHt-e-saadat ban ke chamkenge

    hue hain jazb jo qatre lahu ke tegh-e-qatil mein

    junun-e-be-sar-o-saman ki zinat dekhne wale

    mabaada farq aae ishq ki tadbir-e-manzil mein

    hazaron sal soz-e-dil ne ki thi dozaKH-ashami

    qadam rakhte hi mere lag gai ek aag mahfil mein

    magar bhule nahin ho yaad ab tak 'abr-o-'hamid' ki

    'aziz' aaKHir wo quwwat kyun nahin baqi rahi dil mein

    Source:

    Anjum Kada (Pg. 14)

    • Author: Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
      • Edition: 1956
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu (Hind), Aligarh
      • Year of Publication: 1956
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now