Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhala chahega koi kya kisi ka

Pandit Vidya Rattan Asi

bhala chahega koi kya kisi ka

Pandit Vidya Rattan Asi

MORE BYPandit Vidya Rattan Asi

    bhalā chāhegā koī kyā kisī

    ho dushman aadmī jab aadmī

    jafā-kārī hai zinda aap se

    jafā-kārī hai sheva ap

    mirā sheva hai iḳhlās-o-mohabbat

    burā chāhūñgā maiñ kyoñ kar kisī

    ḳhudā shukr hai us bevafā ne

    sabab pūchhā hai merī ḳhāmushī

    tire dil meñ bhī ho dard-e-mohabbat

    tirā dil kaash ho jaa.e kisī

    diloñ meñ hasrat-e-taḳhrīb pinhāñ

    laboñ pe zikr sulh-o-āshtī

    yahī me.arāj hai ḳhud-āgahī

    na toḌo dil zamāne meñ kisī

    vahī dushman hue haiñ aaj 'āsī'

    jo dam bharte the kal tak dostī

    bhala chahega koi kya kisi ka

    ho dushman aadmi jab aadmi ka

    jafa-kari hai zinda aap hi se

    jafa-kari hai shewa ap hi ka

    mera shewa hai iKHlas-o-mohabbat

    bura chahunga main kyon kar kisi ka

    KHuda ka shukr hai us bewafa ne

    sabab puchha hai meri KHamushi ka

    tere dil mein bhi ho dard-e-mohabbat

    tera dil kash ho jae kisi ka

    dilon mein hasrat-e-taKHrib pinhan

    labon pe zikr sulh-o-ashti ka

    yahi mearaj hai KHud-agahi ki

    na toDo dil zamane mein kisi ka

    wahi dushman hue hain aaj 'asi'

    jo dam bharte the kal tak dosti ka

    Source:

    زندگی کے مارے لوگ (Pg. 49)

    • Author: ودیا رتن آسی
      • Publisher: چیتن پرکاشن،پنجابی بھون،لدھیانہ
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now